Shayari
tumhaare bakhshe hue aansuon ke qatron se
shab-e-firaaq mein taare sajaa rahaa huun main
M
Mahfuzur Rahman Adilaaftaab-e-garm se dast-o-garebaan ho gae
dhuup ki shiddat se saae jab pareshaan ho gae
آفتاب گرم سے دست و گریباں ہو گئے
دھوپ کی شدت سے سائے جب پریشاں ہو گئے
आफ़ताब-ए-गर्म से दस्त-ओ-गरेबाँ हो गए
धूप की शिद्दत से साए जब परेशाँ हो गए
tumhaare bakhshe hue aansuon ke qatron se
shab-e-firaaq mein taare sajaa rahaa huun main
usi ne bakhshaa hai mujh ko shuur jiine kaa
jo mushkilon ki ghaDi baar baar aai hai
vo miri aavaaragardi vo miraa divaana-pan
vo miri taazim mein divaar-o-dar kaa jaagnaa
zindagi ko hausla dene ke khaatir
khvaahishon ko reza reza chun rahaa huun
khud mire aansu chamak rakhte hain gauhar ki tarah
meri chashm-e-aarzu mein maah-o-akhtar kuchh nahin
ek din vo zarron ko aaftaab kar leinge
dhuup ke jo khvaahaan hain raat ke andhere mein