Shayari
hujum-e-baada-o-gul mein hujum-e-yaaraan mein
kisi nigaah ne jhuk kar mire salaam liye
tumhaare jism kaa suraj jahaan jahaan TuuTaa
vahin vahin miri zanjir-e-jaan bhi TuuTi hai
تمہارے جسم کا سورج جہاں جہاں ٹوٹا
وہیں وہیں مری زنجیر جاں بھی ٹوٹی ہے
तुम्हारे जिस्म का सूरज जहाँ जहाँ टूटा
वहीं वहीं मिरी ज़ंजीर-ए-जाँ भी टूटी है

hujum-e-baada-o-gul mein hujum-e-yaaraan mein
kisi nigaah ne jhuk kar mire salaam liye
hayaat le ke chalo kaaenaat le ke chalo
chalo to saare zamaane ko saath le ke chalo
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar
ishq ke shoale ko bhaDkaao ki kuchh raat kaTe
dil ke angaare ko dahkaao ki kuchh raat kaTe
bazm se duur vo gaataa rahaa tanhaa tanhaa
so gayaa saaz pe sar rakh ke sahar se pahle
ye tamannaa hai ki uDti hui manzil kaa ghubaar
subh ke parde mein yaad aa gai shaam aahista