Shayari
nahin kuchh abr hi shaagird meri ashk-baari kaa
sabaq leti hai mujh se barq bhi aa be-qaraari kaa
M
Meer Mohammadi Bedarjunun ne dast-kaari aisi bhi ki
na thaa goyaa garebaan pairahan mein
جنوں نے دست کاری ایسی بھی کی
نہ تھا گویا گریباں پیرہن میں
जुनूँ ने दस्त-कारी ऐसी भी की
न था गोया गरेबाँ पैरहन में
nahin kuchh abr hi shaagird meri ashk-baari kaa
sabaq leti hai mujh se barq bhi aa be-qaraari kaa
kis tarah haal-e-dil kahun us gul se baagh mein
phirti hai us ke saath to har-dam sabaa lagi
ayaan hai shakl tiri yuun hamaare siina se
ki juun sharaab numaayaan ho aabgina se
saaye se apne vahshat karte hain misl-e-aahu
mushkil hai haath lagnaa az-khud ramidgaan kaa
gar kisi ghair ko farmaaoge tab jaanoge
ve hamin hain ki bajaa laavein jo irshaad karo
jaataa hai chalaa qaafila-e-ashk shab o roz
maalum nahin us kaa iraada hai kahaan kaa