Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kyaa aaj-kal se us ki ye be-tavajjohi hai
munh un ne is taraf se pheraa hai 'mir' kab kaa
کیا آج کل سے اس کی یہ بے توجہی ہے
منہ ان نے اس طرف سے پھیرا ہے میرؔ کب کا
kyā āj-kal se us kī ye be-tavajjohī hai
muñh un ne is taraf se pherā hai 'mīr' kab kā

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dil ki yak qatra khuun nahin hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki bahaaraan hai
paat hare hain phuul khile hain kam-kam baad-o-baaraan hai