Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dil ki yak qatra khuun nahin hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa
دل کہ یک قطرہ خوں نہیں ہے بیش
ایک عالم کے سر بلا لایا
dil ki yak qatra ḳhuuñ nahīñ hai besh
ek aalam ke sar balā laayā

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
kahnaa thaa kisu se kuchh taktaa thaa kisu kaa munh
kal 'mir' khaDaa thaa yaan sach hai ki divaana thaa
zamaane ne mujh jura-kash ko nidaan
kiyaa khaak-o-khisht-e-sar-e-khum kiyaa
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
badan ke karb ko vo bhi samajh na paaegaa
main dil mein roungi aankhon mein muskuraaungi
ai be-khudi-e-dil mujhe ye bhi khabar nahin
kis din bahaar aai main divaana kab huaa
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa