Shayari
kaun puchhe mujh se meri gosha-giri kaa sabab
kaun samjhe dar kabhi divaar kar lenaa miraa
harf ko lafz na kar lafz ko izhaar na de
koi tasvir mukammal na banaa us ke liye
حرف کو لفظ نہ کر لفظ کو اظہار نہ دے
کوئی تصویر مکمل نہ بنا اس کے لیے
हर्फ़ को लफ़्ज़ न कर लफ़्ज़ को इज़हार न दे
कोई तस्वीर मुकम्मल न बना उस के लिए

kaun puchhe mujh se meri gosha-giri kaa sabab
kaun samjhe dar kabhi divaar kar lenaa miraa
'ramz' adhure khvaabon ki ye ghaTti baDhti chhaanv
tum se dekhi jaae to dekho mujh se na dekhi jaae
us kaa tarkash khaali hone vaalaa hai
mere naam kaa tiir hai kitne tiron mein
aur koi duniyaa hai teri jis ki khoj karun
zehn mein phir ik samt bikheri raahguzar Daali
tum aa gae ho tum mujh ko zaraa sambhalne do
abhi to nashsha saa aankhon mein intizaar kaa hai
ab ke vasl kaa mausam yunhi bechaini mein biit gayaa
us ke honTon par chaahat kaa phuul khilaa bhi kitni der