Shayari
daaman se vo ponchhtaa hai aansu
rone kaa kuchh aaj hi mazaa hai
raakhiyaan le ke silonon ki barahman niklein
taar baarish kaa to TuuTe koi saaat koi pal
راکھیاں لے کے سلونوں کی برہمن نکلیں
تار بارش کا تو ٹوٹے کوئی ساعت کوئی پل
राखियाँ ले के सिलोनों की बरहमन निकलें
तार बारिश का तो टूटे कोई साअत कोई पल

daaman se vo ponchhtaa hai aansu
rone kaa kuchh aaj hi mazaa hai
dekhiye hogaa shri-krishn kaa darshan kyun-kar
sina-e-tang mein dil gopiyon kaa hai bekal
sunaa hai mohtasib bhi taak mein hai dukhtar-e-raz ki
ilaahi rakh le tu hurmat sharaab-e-arghavaani ki
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
ghaTaa dekh kar khush huiin laDkiyaan
chhaton par khile phuul barsaat ke
shahr ki galiyon mein gahri tirgi giryaan rahi
raat baadal is tarah aae ki main to Dar gayaa
baarish ki bahut tez havaa mein kahin mujh ko
darpesh thaa ik marhala jalne ki tarah kaa
mere us ke darmiyaan haail kai kohsaar hain
mujh tak aate-aate baadal tishna-lab ho jaaegaa
hijr-e-jaanaan mein bhi aansu nahin aae mere
khushk sahraaon mein barsaat kabhi to hogi