Shayari
tu aur gham-e-ulfat 'jazbi' mujh ko to yaqin aae na kabhi
jis qalb pe TuuTe hon patthar us qalb mein nashtar TuuT gae
muskuraa kar Daal di rukh par naqaab
mil gayaa jo kuchh ki milnaa thaa javaab
مسکرا کر ڈال دی رخ پر نقاب
مل گیا جو کچھ کہ ملنا تھا جواب
मुस्कुरा कर डाल दी रुख़ पर नक़ाब
मिल गया जो कुछ कि मिलना था जवाब

tu aur gham-e-ulfat 'jazbi' mujh ko to yaqin aae na kabhi
jis qalb pe TuuTe hon patthar us qalb mein nashtar TuuT gae
na aae maut khudaayaa tabaah-haali mein
ye naam hogaa gham-e-rozgaar sah na sakaa
jab tujh ko tamannaa meri thi tab mujh ko tamannaa teri thi
ab tujh ko tamannaa ghair ki hai to teri tamannaa kaun kare
jab kabhi kisi gul par ik zaraa nikhaar aayaa
kam-nigaah ye samjhe mausam-e-bahaar aayaa
mile mujh ko gham se fursat to sunaaun vo fasaana
ki Tapak paDe nazar se mai-e-ishrat-e-shabaana
us ne is tarah mohabbat ki nigaahein Daalin
ham se duniyaa kaa koi raaz chhupaayaa na gayaa