Shayari
abhi to baat karo ham se doston ki tarah
phir ikhtilaaf ke pahlu nikaalte rahnaa
be-aabru na thi koi laghzish miri 'qatil'
main jab giraa jahaan bhi giraa hosh mein giraa
بے آبرو نہ تھی کوئی لغزش مری قتیلؔ
میں جب گرا جہاں بھی گرا ہوش میں گرا
be-ābrū na thī koī laġhzish mirī 'qatīl'
maiñ jab girā jahāñ bhī girā hosh meñ girā

abhi to baat karo ham se doston ki tarah
phir ikhtilaaf ke pahlu nikaalte rahnaa
aakhri hichki tire zaanun pe aae
maut bhi main shaairaana chaahtaa huun
apne haathon ki lakiron mein sajaa le mujh ko
main huun teraa tu nasib apnaa banaa le mujh ko
nikal kar dair-o-kaaba se agar miltaa na but-khaana
to Thukraae hue insaan khudaa jaane kahaan jaate
kyuun sharik-e-gham banaate ho kisi ko ai 'qatil'
apni suuli apne kaandhe par uThaao chup raho
ab jis ke ji mein aae vahi paae raushni
ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diyaa