Shayari
main zaraa saa kyaa khulaa vo khud simaTne lag gayaa
jo kahaa kartaa thaa mujh se khul ke kyon milte nahin
jis ne kiyaa hai qatl vahi chikh chikh kar
sab se ye kah rahaa hai ki qaatil pata karo
جس نے کیا ہے قتل وہی چیخ چیخ کر
سب سے یہ کہہ رہا ہے کہ قاتل پتہ کرو
जिस ने किया है क़त्ल वही चीख़ चीख़ कर
सब से ये कह रहा है कि क़ातिल पता करो

main zaraa saa kyaa khulaa vo khud simaTne lag gayaa
jo kahaa kartaa thaa mujh se khul ke kyon milte nahin
ik tire kahne se meraa kam nahin kirdaar hogaa
ye alag hai baat main teri kahaani mein nahin huun
shahr ke pakke makaanon mein daraarein aa gaiin
gaanv ke kachche gharon ki niinv pakki thi bahut
vo ishaara kar ke pichhe haT gayaa thaa ek din
us ishaare ko samajhne mein lagaa huun aaj tak
pahle to bolte hain bharosa hai aap par
phir ye bhi chaahte hain vafaa kaa hisaab duun
aag se rishta hai meraa aur dariyaa bhi hai apnaa
aae din donon ke jhagDe mein ulajh kar rah gayaa huun