Shayari
main zaraa saa kyaa khulaa vo khud simaTne lag gayaa
jo kahaa kartaa thaa mujh se khul ke kyon milte nahin
ik tire kahne se meraa kam nahin kirdaar hogaa
ye alag hai baat main teri kahaani mein nahin huun
اک ترے کہنے سے میرا کم نہیں کردار ہوگا
یہ الگ ہے بات میں تیری کہانی میں نہیں ہوں
इक तिरे कहने से मेरा कम नहीं किरदार होगा
ये अलग है बात मैं तेरी कहानी में नहीं हूँ

main zaraa saa kyaa khulaa vo khud simaTne lag gayaa
jo kahaa kartaa thaa mujh se khul ke kyon milte nahin
jis ne kiyaa hai qatl vahi chikh chikh kar
sab se ye kah rahaa hai ki qaatil pata karo
shahr ke pakke makaanon mein daraarein aa gaiin
gaanv ke kachche gharon ki niinv pakki thi bahut
vo ishaara kar ke pichhe haT gayaa thaa ek din
us ishaare ko samajhne mein lagaa huun aaj tak
pahle to bolte hain bharosa hai aap par
phir ye bhi chaahte hain vafaa kaa hisaab duun
aag se rishta hai meraa aur dariyaa bhi hai apnaa
aae din donon ke jhagDe mein ulajh kar rah gayaa huun
mere tul-e-shab-e-judaai ko
teri zulf-e-daraaz kyaa jaane
tiri zamin pe kartaa rahaa huun mazduri
hai sukhne ko pasina muaavza hai kahaan
tamannaa ik tarah ki jaan hai jo marte dam nikle
judaai ik tarah ki maut hai jo jite-ji aae
ham aaj hanste hue kuchh alag dikhaai diye
ba-vaqt-e-girya ham aise the, saare jaise hain
milnaa thaa ittifaaq bichhaDnaa nasib thaa
vo utni duur ho gayaa jitnaa qarib thaa
is liye sab se alag hai miri khushbu 'aami'
mushk-e-mazdur pasine mein liye phirtaa huun