Shayari
main aa kar dushmanon mein bas gayaa huun
yahaan hamdard hain do-chaar mere
shaakhon se TuuT jaaein vo patte nahin hain ham
aandhi se koi kah de ki auqaat mein rahe
شاخوں سے ٹوٹ جائیں وہ پتے نہیں ہیں ہم
آندھی سے کوئی کہہ دے کہ اوقات میں رہے
शाख़ों से टूट जाएँ वो पत्ते नहीं हैं हम
आँधी से कोई कह दे कि औक़ात में रहे

main aa kar dushmanon mein bas gayaa huun
yahaan hamdard hain do-chaar mere
us ki yaad aai hai saanso zaraa aahista chalo
dhaDkanon se bhi ibaadat mein khalal paDtaa hai
dosti jab kisi se ki jaae
dushmanon ki bhi raae li jaae
chaand suraj miri chaukhaT pe kai sadiyon se
roz likkhe hue chehre pe savaal aate hain
main mar jaaun to meri ek alag pahchaan likh denaa
lahu se meri peshaani pe hindustaan likh denaa
botalein khol kar to pi barson
aaj dil khol kar bhi pi jaae