Shayari
jin aankhon se mujhe tum dekhte ho
main un aankhon se duniyaa dekhtaa huun
aur kuchh yuun huaa ki bachchon ne
chhinaa-jhapTi mein toD Daalaa mujhe
اور کچھ یوں ہوا کہ بچوں نے
چھینا جھپٹی میں توڑ ڈالا مجھے
और कुछ यूँ हुआ कि बच्चों ने
छीना-झपटी में तोड़ डाला मुझे

jin aankhon se mujhe tum dekhte ho
main un aankhon se duniyaa dekhtaa huun
miTTi jab tak nam rahti hai
khushbu taaza-dam rahti hai
huiin aankhein ajab behaal ab ke
ye baarish kar gai kangaal ab ke
dil dhaDaktaa hai sar-e-raah-e-khayaal
ab ye aavaaz jahaan tak pahunche
tujh se milne ko be-qaraar thaa dil
tujh se mil kar bhi be-qaraar rahaa
hai koi yahaan shahr mein aisaa ki jise main
apnaa na kahun aur vo apnaa mujhe samjhe