Shayari
jin aankhon se mujhe tum dekhte ho
main un aankhon se duniyaa dekhtaa huun
dil dhaDaktaa hai sar-e-raah-e-khayaal
ab ye aavaaz jahaan tak pahunche
دل دھڑکتا ہے سر راہ خیال
اب یہ آواز جہاں تک پہنچے
दिल धड़कता है सर-ए-राह-ए-ख़याल
अब ये आवाज़ जहाँ तक पहुँचे

jin aankhon se mujhe tum dekhte ho
main un aankhon se duniyaa dekhtaa huun
miTTi jab tak nam rahti hai
khushbu taaza-dam rahti hai
aur kuchh yuun huaa ki bachchon ne
chhinaa-jhapTi mein toD Daalaa mujhe
huiin aankhein ajab behaal ab ke
ye baarish kar gai kangaal ab ke
tujh se milne ko be-qaraar thaa dil
tujh se mil kar bhi be-qaraar rahaa
hai koi yahaan shahr mein aisaa ki jise main
apnaa na kahun aur vo apnaa mujhe samjhe
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil mein soe saare dard jagaataa hai
bin mausam ki baarish aisaa nauha hai
sang-paraston ki basti mein shisha-garon ki khair nahin hai
jin ki aankhein nuur se khaali un ke dil hain aahan aahan
itnaa badal gayaa huun ki pahchaanne mujhe
aaegaa vo to khud se guzar kar hi aaegaa
badle hue se lagte hain ab mausamon ke rang
paDtaa hai aasmaan kaa saayaa zamin par