Shayari
kabhi to manzaron ke is tilism se ubhar sakun
khaDaa huun dil ki sath par khud apne intizaar mein
yahin par khatm honi chaahiye thi ek duniyaa
yahin se baat kaa aaghaaz honaa chaahiye thaa
یہیں پر ختم ہونی چاہیئے تھی ایک دنیا
یہیں سے بات کا آغاز ہونا چاہیئے تھا
यहीं पर ख़त्म होनी चाहिए थी एक दुनिया
यहीं से बात का आग़ाज़ होना चाहिए था

kabhi to manzaron ke is tilism se ubhar sakun
khaDaa huun dil ki sath par khud apne intizaar mein
kisi ne ham ko ataa nahin ki hamaari gardish hai apni gardish
khud apni marzi se is jahaan ki ragon mein girdaab ham hue hain
bas lahu ki buund thi ehsaas mein
phir ugaayaa dasht ne ik sar nayaa
khudaa ki khamoshi mein shaayad ho us kaa vajud
zamaana huaa naam apnaa pukaare hue
zamin phail gai hai hamaari ruuh talak
jahaan kaa shor ab andar sunaai detaa hai
baad mein rakhe saraabon ke dayaaron mein qadam
pahle vo saans ki sarhad pe to aa kar dekhe