Shayari
shohrat ki fazaaon mein itnaa na uDo 'saaghar'
parvaaz na kho jaae in unchi uDaanon mein
kashmir ki vaadi mein be-parda jo nikle ho
kyaa aag lagaaoge barfili chaTaanon mein
کشمیر کی وادی میں بے پردہ جو نکلے ہو
کیا آگ لگاؤ گے برفیلی چٹانوں میں
कश्मीर की वादी में बे-पर्दा जो निकले हो
क्या आग लगाओगे बर्फ़ीली चटानों में

shohrat ki fazaaon mein itnaa na uDo 'saaghar'
parvaaz na kho jaae in unchi uDaanon mein
shaam Dhale ye soch ke baiThe ham apni tasvir ke paas
saari ghazlein baiThi hongi apne apne miir ke paas
tum kyaa jaano apne aap se kitnaa main sharminda huun
chhuT gayaa hai saath tumhaaraa aur abhi tak zinda huun
tum se milti-julti main aavaaz kahaan se laaungaa
taaj-mahal ban jaae agar mumtaaz kahaan se laaungaa
itnaa naaraaz ho kyuun us ne jo patthar pheinkaa
us ke haathon se kabhi phuul bhi aayaa hogaa
devtaa mere aangan mein utreinge kab zindagi bhar yahi sochtaa rah gayaa
mere bachchon ne to chaand ko chhu liyaa aur main chaand ko pujtaa rah gayaa