Shayari
tumhaaraa zikr jab se aa gayaa hai
maza aane lagaa hai guftugu mein
adab mein bhi luTere aa gae hain
kahaan rakkhun khayaal apnaa bachaa kar
ادب میں بھی لٹیرے آ گئے ہیں
کہاں رکھوں خیال اپنا بچا کر
अदब में भी लुटेरे आ गए हैं
कहाँ रक्खूँ ख़याल अपना बचा कर

tumhaaraa zikr jab se aa gayaa hai
maza aane lagaa hai guftugu mein
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
log bimaar hain hasad ke sabab
aur hasad ki davaa nahin hoti
main jitnaa sabr kartaa jaa rahaa huun
vo utnaa aazmaataa jaa rahaa hai
fazaa mein zahr gholaa jaa rahaa hai
baDi mushkil se bolaa jaa rahaa hai