Shayari
tumhaaraa zikr jab se aa gayaa hai
maza aane lagaa hai guftugu mein
log bimaar hain hasad ke sabab
aur hasad ki davaa nahin hoti
لوگ بیمار ہیں حسد کے سبب
اور حسد کی دوا نہیں ہوتی
लोग बीमार हैं हसद के सबब
और हसद की दवा नहीं होती

tumhaaraa zikr jab se aa gayaa hai
maza aane lagaa hai guftugu mein
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
main jitnaa sabr kartaa jaa rahaa huun
vo utnaa aazmaataa jaa rahaa hai
adab mein bhi luTere aa gae hain
kahaan rakkhun khayaal apnaa bachaa kar
fazaa mein zahr gholaa jaa rahaa hai
baDi mushkil se bolaa jaa rahaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
jab se 'ummid' gayaa hai koi!!
lamhe sadiyon ki alaamat Thahre
makaan-e-dil se rukhsat ho gayaa 'ishq
udaasi lauT kar tu ghar chali aa
us hijr pe tohmat ki jise vasl ki zid ho
us dard pe laanat ki jo ashaar mein aa jaae