Shayari
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
naam meraa yaad karke chuskiyon ke biich mein
kyaa hui hai chaae ke cup mein tire halchal kabhi
نام میرا یاد کرکے چسکیوں کے بیچ میں
کیا ہوئی ہے چائے کے کپ میں ترے ہلچل کبھی
नाम मेरा याद करके चुस्कियों के बीच में
क्या हुई है चाय के कप में तिरे हलचल कभी

mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
gar kiyaa naaseh ne ham ko qaid achchhaa yuun sahi
ye junun-e-ishq ke andaaz chhuT jaaveinge kyaa
aakhiri baat tum se kahnaa hai
yaad rakhnaa na tum kahaa meraa
jaane kis aalam mein tu bichhDaa ki hai tere baghair
aaj tak har naqsh fariyaadi miri tahrir kaa
tum ne kiyaa na yaad kabhi bhuul kar hamein
ham ne tumhaari yaad mein sab kuchh bhulaa diyaa