Shayari
jaan hai to jahaan hai dil hai to aarzu bhi hai
ishq bhi ho rahegaa phir jaan abhi bachaaiye
aakhir ik roz utarni hai libaadon ki tarah
tan-e-malbus! ye pahni hui uryaani bhi
آخر اک روز اترنی ہے لبادوں کی طرح
تن ملبوس! یہ پہنی ہوئی عریانی بھی
आख़िर इक रोज़ उतरनी है लिबादों की तरह
तन-ए-मल्बूस! ये पहनी हुई उर्यानी भी

jaan hai to jahaan hai dil hai to aarzu bhi hai
ishq bhi ho rahegaa phir jaan abhi bachaaiye
main chaahtaa huun use aur chaahne ke sivaa
mire liye to koi aur raastaa bhi nahin
har ik ufuq pe musalsal tulua hotaa huaa
main aaftaab ke maanind rahguzaar mein thaa
bahut dinon mein mire ghar ki khaamushi TuuTi
khud apne-aap se ik din kalaam main ne kiyaa
mujhe ye saare masihaa aziiz hain lekin
ye kah rahe hain ki main tum se faasla rakkhun
itni siyaah-raat mein itni si raushni
ye chaand vo nahin miraa mahtaab aur hai