Shayari
haan vaz-e-ehtiyaat kaa qaail nahin huun mein
jo zakhm hai jigar mein chhupaane se main rahaa
in dinon apni bhi vahshat kaa ajab aalam hai
ghar mein ham dasht-o-bayaabaan uThaa laae hain
ان دنوں اپنی بھی وحشت کا عجب عالم ہے
گھر میں ہم دشت و بیابان اٹھا لائے ہیں
इन दिनों अपनी भी वहशत का अजब आलम है
घर में हम दश्त-ओ-बयाबान उठा लाए हैं

haan vaz-e-ehtiyaat kaa qaail nahin huun mein
jo zakhm hai jigar mein chhupaane se main rahaa
jab Duub ke marnaa hai to kyaa soch rahe ho
in jhiil si aankhon mein utar kyuun nahin jaate
jang kaa shor bhi kuchh der to tham saktaa hai
phir se ik amn ki afvaah uDaa di jaae
tu mere saath nahin hai to sochtaa huun main
ki ab to tujh se bichhaDne kaa koi Dar bhi nahin
shaakh-e-mizhgaan pe mahakne lage zakhmon ke gulaab
pichhle mausam ki mulaaqaat ki bu zinda hai
burida-sar ko sajaa de fasil-e-neza par
darida jism ko phir arsa-e-qitaal mein rakh