Shayari
kaun pursaan hai haal-e-bismil kaa
khalq munh dekhti hai qaatil kaa
S
Sheikh Bimar Ali Bakhshdam na niklaa yaar ki naa-mehrbaani dekh kar
sakht hairaan huun main apni sakht-jaani dekh kar
دم نہ نکلا یار کی نامہربانی دیکھ کر
سخت حیراں ہوں میں اپنی سخت جانی دیکھ کر
दम न निकला यार की ना-मेहरबानी देख कर
सख़्त हैराँ हूँ मैं अपनी सख़्त-जानी देख कर
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
chale the yaar baDe zoam mein havaa ki tarah
palaT ke dekhaa to baiThe hain naqsh-e-paa ki tarah
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram
sakht kaafir thaa jin ne pahle 'mir'
mazhab-e-ishq ikhtiyaar kiyaa
yaa-rab zamaana mujh ko miTaataa hai kis liye
lauh-e-jahaan pe harf-e-mukarrar nahin huun main
zoaf mein taana-e-aghyaar kaa shikva kyaa hai
baat kuchh sar to nahin hai ki uThaa bhi na sakun