Shayari
dam na niklaa yaar ki naa-mehrbaani dekh kar
sakht hairaan huun main apni sakht-jaani dekh kar
S
Sheikh Bimar Ali Bakhshchashm-e-dilbar ne dil-e-zaar ki dildaari ki
aah bimaar ne bimaar ki gham-khvaari ki
چشم دلبر نے دل زار کی دل داری کی
آہ بیمار نے بیمار کی غم خواری کی
चशम-दिलबर ने दिल-ए-ज़ार की दिलदारी की
आह बीमार ने बीमार की ग़म-ख़्वारी की
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kyaa usi kaa naam hai raanaai-e-bazm-e-hayaat
tang kamra sard bistar aur tanhaa aadmi
aa hi pahunchi ik dariche se shuaa-e-aaftaab
main ye samjhaa thaa shab-e-gham ki sahar koi nahin
sab ko bataa diyaa ki main behad udaas huun
itni si baat ko bhi khabar kar diyaa gayaa