Shayari
furaat-e-chashm pe hai karbalaa ki tughyaani
darun-e-kufa-e-dil iid karne aayaa huun
kyaa shai hai khinch leti hai shab ko sar-e-falak
phir subh joDti hai dobaara zamin se
کیا شے ہے کھینچ لیتی ہے شب کو سر فلک
پھر صبح جوڑتی ہے دوبارہ زمین سے
क्या शय है खींच लेती है शब को सर-ए-फ़लक
फिर सुब्ह जोड़ती है दोबारा ज़मीन से

har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
azaab-e-barq-o-baaraan thaa andheri raat thi
ravaan thiin kashtiyaan kis shaan se is jhiil mein
raaton ki niind ek pari-zaad le uDi
din kaa sukun fikr-e-maishat mein kho gayaa
kal raat main bahut hi alag saa lagaa mujhe
us ki nazar ne yuun miri surat khangaali dost