bura ho a.ine tira main kaun huun na khul saka
mujhi ko pesh kar diya gaya miri misal men

Abdul Ahad Saaz
Abdul Ahad Saaz
Sherशेर
See all 44 →bura ho a.ine tira main kaun huun na khul saka
बुरा हो आईने तिरा मैं कौन हूँ न खुल सका
dost ahbab se lene na sahare jaana
दोस्त अहबाब से लेने न सहारे जाना
dad-o-tahsin ki boli nahin tafhim ka naqd
दाद-ओ-तहसीन की बोली नहीं तफ़्हीम का नक़्द
khayal kya hai jo alfaz tak na pahunche 'saz'
ख़याल क्या है जो अल्फ़ाज़ तक न पहुँचे 'साज़'
ghar vaale mujhe ghar par dekh ke khush hain aur vo kya janen
घर वाले मुझे घर पर देख के ख़ुश हैं और वो क्या जानें
tum apne Thor-Thikanon ko yaad rakkho 'saz'
तुम अपने ठोर-ठिकानों को याद रक्खो 'साज़'
Popular Sher & Shayari
88 totaldost ahbab se lene na sahare jaana
dil jo ghabra.e samundar ke kinare jaana
dad-o-tahsin ki boli nahin tafhim ka naqd
shart kuchh to mire bikne ki munasib Thahre
khayal kya hai jo alfaz tak na pahunche 'saz'
jab aankh se hi na Tapka to phir lahu kya hai
ghar vaale mujhe ghar par dekh ke khush hain aur vo kya janen
main ne apna ghar apne maskan se alag kar rakkha hai
tum apne Thor-Thikanon ko yaad rakkho 'saz'
hamara kya hai ki ham to kahin bhi rahte hain
bol the divaanon ke jin se hosh vaalon ne
soch ke dhundlakon mein apnaa raasta paayaa
laa se laa kaa safar thaa to phir kis liye
har kham-e-raah se jaan ulajhti rahi
nazar to aate hain kamron mein chalte-phirte magar
ye ghar ke log na jaane kahaan gae hue hain
shaaeri talab apni shaaeri ataa us ki
hausle se kam maangaa zarf se sivaa paayaa
muflisi bhuuk ko shahvat se milaa deti hai
gandumi lams mein hai zaaiqa-e-naan-e-javin
pas-manzar mein 'fēd' hue jaate hain insaani kirdaar
focus mein rafta rafta shaitaan ubhartaa aataa hai
Ghazalग़ज़ल
band fasilein shahr ki toDein zaat ki girhein kholein
बंद फ़सीलें शहर की तोड़ें ज़ात की गिरहें खोलें
meri aankhon se guzar kar dil o jaan mein aanaa
मेरी आँखों से गुज़र कर दिल ओ जाँ में आना
savaal be-amaan ban ke rah gae
सवाल बे-अमान बन के रह गए
yuun bhi dil ahbaab ke ham ne gaahe gaahe rakkhe the
यूँ भी दिल अहबाब के हम ने गाहे गाहे रक्खे थे
saamea lazzat-e-bayaan-zada
सामेआ लज़्ज़त-ए-बयान-ज़दा
lafzon ke sahraa mein kyaa maani ke saraab dikhaanaa bhi
लफ़्ज़ों के सहरा में क्या मा'नी के सराब दिखाना भी





