Sher
kuude hain us ke sehn men do-char sher-dil
ham facebok ki wall se aage nahin ga.e

Aziz Faisal
kuude hain us ke sehn men do-char sher-dil
कूदे हैं उस के सेहन में दो-चार शेर-दिल
aise bandon ko janta huun main
ऐसे बंदों को जानता हूँ मैं
nikal baiTha tha dandan-saz bhule se
निकाल बैठा था दंदान-साज़ भूले से
das baara ghazliyat jo rakhta hai jeb men
दस बारा ग़ज़लियात जो रखता है जेब में
hai kamyabi-e-mardan men haath aurat ka
है कामयाबी-ए-मर्दां में हाथ औरत का
de rahe hain is liye jangal men dharna janvar
दे रहे हैं इस लिए जंगल में धरना जानवर
kuude hain us ke sehn men do-char sher-dil
ham facebok ki wall se aage nahin ga.e
aise bandon ko janta huun main
jin ka vahid ilaaj malish hai
nikal baiTha tha dandan-saz bhule se
vo daaDh jis men zara sa bhi mas.ala nahin tha
das baara ghazliyat jo rakhta hai jeb men
bazm-e-sukhan men hai vo nishani vabal ki
hai kamyabi-e-mardan men haath aurat ka
magar tu ek hi aurat pe inhisar na kar
de rahe hain is liye jangal men dharna janvar
ek chuhe ko riha.ish ke liye bil chahiye
ishq mein ye tafraqa-baazi bahut maayub hai
pyaar ko shiia vahaabi aur sunni mat samajh
das baara ghazliyaat jo rakhtaa hai jeb mein
bazm-e-sukhan mein hai vo nishaani vabaal ki
na ye qaanun kaam aayaa thaa raanjhe ke zaraa saa bhi
usi ko bhains milti hai ho jis ke haath mein laaThi
begam se kah rahaa thaa ye koi khalaa-navard
baiThi hui hai chaand pe ''guDiyaa'' mire liye
kitni mazaahiya hai ye botal ke jin ki baat
aaqaa ab inqalaab hai do chaar din ki baat
moarrikh likh na dein suqraat mujh ko
main lassi kaa piyaala pi rahaa huun