Shayari
das baara ghazliyaat jo rakhtaa hai jeb mein
bazm-e-sukhan mein hai vo nishaani vabaal ki
ishq mein ye tafraqa-baazi bahut maayub hai
pyaar ko shiia vahaabi aur sunni mat samajh
عشق میں یہ تفرقہ بازی بہت معیوب ہے
پیار کو شیعہ وہابی اور سنی مت سمجھ
इश्क़ में ये तफ़रक़ा-बाज़ी बहुत मायूब है
प्यार को शीआ वहाबी और सुन्नी मत समझ

das baara ghazliyaat jo rakhtaa hai jeb mein
bazm-e-sukhan mein hai vo nishaani vabaal ki
na ye qaanun kaam aayaa thaa raanjhe ke zaraa saa bhi
usi ko bhains milti hai ho jis ke haath mein laaThi
begam se kah rahaa thaa ye koi khalaa-navard
baiThi hui hai chaand pe ''guDiyaa'' mire liye
kitni mazaahiya hai ye botal ke jin ki baat
aaqaa ab inqalaab hai do chaar din ki baat
aisi khvaahish ko samajhtaa huun main bilkul natural
doctor ko shahr kaa har mard o zan ill chaahiye
moarrikh likh na dein suqraat mujh ko
main lassi kaa piyaala pi rahaa huun
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat aap hi manzil hai apni
na jaane husn kyuun itraa rahaa hai
aksar aisaa bhi mohabbat mein huaa kartaa hai
ki samajh-bujh ke khaa jaataa hai dhokaa koi
nikal gayaa miri aankhon se misl-e-khvaa-o-khayaal
guzar gayaa dil-e-raushan se vo nazar ban kar
abhi aaghaaz-e-ulfat hai chalo ik kaam karte hain
bichhaD kar dekh lete hain bichhaD kar kaisaa lagtaa hai