miri ik zindagi ke kitne hisse-dar hain lekin
kisi ki zindagi men mera hissa kyuun nahin hota

Rajesh Reddy
Rajesh Reddy
Sherशेर
See all 40 →miri ik zindagi ke kitne hisse-dar hain lekin
मिरी इक ज़िंदगी के कितने हिस्से-दार हैं लेकिन
bahana koi to ai zindagi de
बहाना कोई तो ऐ ज़िंदगी दे
ab to sarab hi se bujhane lage hain pyaas
अब तो सराब ही से बुझाने लगे हैं प्यास
miri ghazal men kisi bevafa ka zikr na tha
मिरी ग़ज़ल में किसी बेवफ़ा का ज़िक्र न था
aadmi hi ke bana.e hue zindan hain ye sab
आदमी ही के बनाए हुए ज़िंदाँ हैं ये सब
kuchh parindon ko to bas do chaar daane chahiyen
कुछ परिंदों को तो बस दो चार दाने चाहिएँ
Popular Sher & Shayari
80 totalbahana koi to ai zindagi de
ki jiine ke liye majbur ho ja.un
ab to sarab hi se bujhane lage hain pyaas
lene lage hain kaam yaqin ka guman se ham
miri ghazal men kisi bevafa ka zikr na tha
na jaane kaise tira tazkira nikal aaya
aadmi hi ke bana.e hue zindan hain ye sab
koi paida nahin hota kisi zanjir ke saath
kuchh parindon ko to bas do chaar daane chahiyen
kuchh ko lekin asmanon ke khazane chahiyen
kiyaa ijaad jis ne bhi khudaa ko
vo khud ko kaise bahlaataa thaa pahle
saath 'ghaalib' ke gai fikr ki gahraai bhi
aur lahja bhi gayaa 'mir-taqi-mir' ke saath
sab log is se pahle ki devtaa samajhte
ham ne zaraa saa khud ko insaan kar liyaa hai
kyaa jaane kis jahaan mein milegaa hamein sukun
naaraaz hain zamin se khafaa aasmaan se ham
justuju kaa ik ajab silsila taa-umr rahaa
khud ko khonaa thaa kahin aur kahin DhunDhnaa thaa
kaun paDhtaa hai yahaan khol ke ab dil ki kitaab
ab to chehre ko hi akhbaar kiyaa jaanaa hai
Ghazalग़ज़ल
yuun dekhiye to aandhi mein bas ik shajar gayaa
यूँ देखिए तो आँधी में बस इक शजर गया
kisi din zindagaani mein karishma kyuun nahin hotaa
किसी दिन ज़िंदगानी में करिश्मा क्यूँ नहीं होता
yahaan har shakhs har pal haadsa hone se Dartaa hai
यहाँ हर शख़्स हर पल हादसा होने से डरता है
jaane kitni uDaan baaqi hai
जाने कितनी उड़ान बाक़ी है
ab kyaa bataaein TuuTe hain kitne kahaan se ham
अब क्या बताएँ टूटे हैं कितने कहाँ से हम
har ek saans hi ham par haraam ho gai hai
हर एक साँस ही हम पर हराम हो गई है





