SHAWORDS

aap ki jab se mehrbaani hai — Saleem Amrohvi

HomeSaleem AmrohviGhazal
"aap ki jab se mehrbaani hai dil ke har zakhm par javaani hai aap se duur rah ke zinda hain ye bhi kyaa koi zindagaani hai baad muddat ke us ko dekhaa hai jo mohabbat kaa meri baani hai puchhte kyaa ho mere dil kaa haal is ki to lambi ik kahaani hai saath jiinaa hai saath marnaa hai ye qasam aap ko bhi khaani hai jis ki khaatir ye ho gai hai ghazal vo khayaalon ki mere raani hai khauf mein us ke ham nahin rahte maut to ek roz aani hai kitnaa be-dard ho gayaa vo 'salim' duur rahne ki jis ne Thaani hai"
Urdu

آپ کی جب سے مہربانی ہے دل کے ہر زخم پر جوانی ہے آپ سے دور رہ کے زندہ ہیں یہ بھی کیا کوئی زندگانی ہے بعد مدت کے اس کو دیکھا ہے جو محبت کا میری بانی ہے پوچھتے کیا ہو میرے دل کا حال اس کی تو لمبی اک کہانی ہے ساتھ جینا ہے ساتھ مرنا ہے یہ قسم آپ کو بھی کھانی ہے جس کی خاطر یہ ہو گئی ہے غزل وہ خیالوں کی میرے رانی ہے خوف میں اس کے ہم نہیں رہتے موت تو ایک روز آنی ہے کتنا بے درد ہو گیا وہ سلیمؔ دور رہنے کی جس نے ٹھانی ہے

Hindi

आप की जब से मेहरबानी है दिल के हर ज़ख़्म पर जवानी है आप से दूर रह के ज़िंदा हैं ये भी क्या कोई ज़िंदगानी है बाद मुद्दत के उस को देखा है जो मोहब्बत का मेरी बानी है पूछते क्या हो मेरे दिल का हाल इस की तो लम्बी इक कहानी है साथ जीना है साथ मरना है ये क़सम आप को भी खानी है जिस की ख़ातिर ये हो गई है ग़ज़ल वो ख़यालों की मेरे रानी है ख़ौफ़ में उस के हम नहीं रहते मौत तो एक रोज़ आनी है कितना बे-दर्द हो गया वो 'सलीम' दूर रहने की जिस ने ठानी है

aap kī jab se mehrbānī hai
Saleem Amrohvi
Saleem Amrohvi
Saleem Amrohvi
poet11 quotes

More by Saleem Amrohvi

View all →
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"hamaare dil ko tiraa intizaar kab se hai ab aa bhi jaa ki ye dil be-qaraar kab se hai tumhaare aane se gulshan mahak ye uThtaa hai tumhaari aas lagaae bahaar kab se hai ab hans ke tanz ke tiron se vaar khuub karo tumhein khabar hai hamein tum se pyaar kab se hai miraa ye haal banaa kar vo sab se puchhtaa hai zaraa bataao ye divaana-vaar kab se hai ye vo hi shakhs hai jo hans ke baat kartaa thaa tum hi kaho ki ye ab ashk-baar kab se hai kahaan talak yuun chhupaaoge raaz-e-dil apnaa zamaane bhar ko khabar hai ye pyaar kab se hai khudaa kare vo ghaDi jald aae ki jis mein kahein vo mujh se hamein tum se pyaar kab se hai tiri judaai kaa gham hans ke sah rahaa hai 'salim' ye tum samajhte ho ye gham-gusaar kab se hai"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil