Quote
"andhe adam vajud ke girdaab se nikal ye zindagi bhi khvaab hai tu khvaab se nikal suraj se apne bichhDi hui ik kiran hai tu teraa nasib jism ke barfaab se nikal tu miTTi paani aag havaa mein hai qaid kyuun hone kaa de javaaz tab-o-taab se nikal phulon mein chaand taaron mein suraj mein us ko dekh in pattharon ke mimbar o mehraab se nikal murjhaa na jaae dekh kahin ruuh kaa gulaab faani jahaan ki vaadi-e-shaadaab se nikal ban ke jazira ubhregaa kirdaar khud tiraa khush-rang khvaahishon ke tu sailaab se nikal kahti hain mujh se soch samundar ki vusatein 'aarif' tu apni zaat ke taalaab se nikal"
