SHAWORDS

andhe adam vajud ke girdaab se nikal — Arif Shafiq

HomeArif ShafiqGhazal
"andhe adam vajud ke girdaab se nikal ye zindagi bhi khvaab hai tu khvaab se nikal suraj se apne bichhDi hui ik kiran hai tu teraa nasib jism ke barfaab se nikal tu miTTi paani aag havaa mein hai qaid kyuun hone kaa de javaaz tab-o-taab se nikal phulon mein chaand taaron mein suraj mein us ko dekh in pattharon ke mimbar o mehraab se nikal murjhaa na jaae dekh kahin ruuh kaa gulaab faani jahaan ki vaadi-e-shaadaab se nikal ban ke jazira ubhregaa kirdaar khud tiraa khush-rang khvaahishon ke tu sailaab se nikal kahti hain mujh se soch samundar ki vusatein 'aarif' tu apni zaat ke taalaab se nikal"
Urdu

اندھے عدم وجود کے گرداب سے نکل یہ زندگی بھی خواب ہے تو خواب سے نکل سورج سے اپنے بچھڑی ہوئی اک کرن ہے تو تیرا نصیب جسم کے برفاب سے نکل تو مٹی پانی آگ ہوا میں ہے قید کیوں ہونے کا دے جواز تب و تاب سے نکل پھولوں میں چاند تاروں میں سورج میں اس کو دیکھ ان پتھروں کے منبر و محراب سے نکل مرجھا نہ جائے دیکھ کہیں روح کا گلاب فانی جہاں کی وادئ شاداب سے نکل بن کے جزیرہ ابھرے گا کردار خود ترا خوش رنگ خواہشوں کے تو سیلاب سے نکل کہتی ہیں مجھ سے سوچ سمندر کی وسعتیں عارفؔ تو اپنی ذات کے تالاب سے نکل

Hindi

अंधे अदम वजूद के गिर्दाब से निकल ये ज़िंदगी भी ख़्वाब है तू ख़्वाब से निकल सूरज से अपने बिछड़ी हुई इक किरन है तू तेरा नसीब जिस्म के बरफ़ाब से निकल तू मिट्टी पानी आग हवा में है क़ैद क्यूँ होने का दे जवाज़ तब-ओ-ताब से निकल फूलों में चाँद तारों में सूरज में उस को देख इन पत्थरों के मिम्बर ओ मेहराब से निकल मुरझा न जाए देख कहीं रूह का गुलाब फ़ानी जहाँ की वादी-ए-शादाब से निकल बन के जज़ीरा उभरेगा किरदार ख़ुद तिरा ख़ुश-रंग ख़्वाहिशों के तू सैलाब से निकल कहती हैं मुझ से सोच समुंदर की वुसअतें 'आरिफ़' तू अपनी ज़ात के तालाब से निकल

andhe adam vajūd ke girdāb se nikal
Arif Shafiq
Arif Shafiq
Arif Shafiq
poet40 quotes

More by Arif Shafiq

View all →
Quote
"ghar se chikhein uTh rahi thiin aur main jaagaa na thaa itni gahri niind to pahle kabhi soyaa na thaa nashsha-e-aavaargi jab kam huaa to ye khulaa koi bhi rasta mire ghar ki taraf jaataa na thaa kyaa gila ik dusre se bevafaai kaa karein ham ne hi ik dusre ko Thiik se samjhaa na thaa gul na the jis mein vo gulshan bhi thaa jangal ki tarah ghar vo qabristaan thaa jis mein koi bachcha na thaa aasmaan par thaa khudaa tanhaa magar 'aarif-shafiq' is zamin par koi bhi meri tarah tanhaa na thaa"
Arif ShafiqArif Shafiq
Quote
"jo justuju karun har raaz paa bhi saktaa huun main kaaenaat se parda uThaa bhi saktaa huun mire buzurgon ne bakhshi hai ik duaa aisi bichhaD gae hain jo un ko milaa bhi saktaa huun na koi zaaicha khinchun na dekhun haath tiraa main tere baare mein sab kuchh bataa bhi saktaa huun bas ek raat main sajde mein gir ke royaa thaa ab aasmaan ko zamin par jhukaa bhi saktaa huun abhi to soch safar hai azal ki samt magar palaT ke su-e-abad phir se jaa bhi saktaa huun mujhe khudaa ne vo bakhshaa hai shaairi kaa hunar jo khvaab dekhtaa huun vo dikhaa bhi saktaa huun ye maantaa huun ki aarif huun karbalaa se duur magar main hur ki tarah sar kaTaa bhi saktaa huun"
Arif ShafiqArif Shafiq
Quote
"jab bhi dushman ban ke is ne vaar kiyaa main ne apne lahje ko talvaar kiyaa main ne apne phuul se bachchon ki khaatir kaaghaz ke phulon kaa kaarobaar kiyaa meri mehnat ki qimat kyaa degaa tu main ne dasht-o-sahraa ko gulzaar kiyaa main 'farhaad' yaa majnun kaise ban jaataa main shaair thaa main ne sab se pyaar kiyaa us ki aankhein khvaab se banne lagti hain jab bhi main ne chaahat kaa izhaar kiyaa apne pichhe aane vaalon ki khaatir main ne har ik raste ko hamvaar kiyaa us ke ghar ke saare log mukhaalif the phir bhi 'aarif' us ne mujh se pyaar kiyaa"
Arif ShafiqArif Shafiq
Quote
"hamein nazdik kab dil ki mohabbat khinch laati hai tujhe teri mujhe meri zarurat khinch laati hai chhupaa hai jo khazaana tah mein in banjar zaminon ki use baahar zamin se meri mehnat khinch laati hai main maazi ko bhulaa kar apne mustaqbil mein zinda huun nigaahon se hai jo ojhal bashaarat khinch laati hai miraa dushman miri aankhon se ojhal ho nahin saktaa mire nazdik us ko dil ki nafrat khinch laati hai samundar paar jaane vaale ik dan lauT aaeinge miraa imaan hai miTTi ki mohabbat khinch laati hai jo apnaa ghar kisi ke ishq mein barbaad karte hain unhein sahraa mein un ke dil ki vahshat khinch laati hai kabhi hotaa hai jo viraan mere shahr kaa maqtal kisi mansur ko 'aarif' sadaaqat khinch laati hai"
Arif ShafiqArif Shafiq

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb