SHAWORDS

baavre man ki baavri khushbu — Aradhana Prasad

"baavre man ki baavri khushbu giton ghazlon si mohni khushbu mausam-e-ishq kaa payaam liye aasmaani si aashiqi khushbu yaa khudaa kyaa hai saahiri tauba khud hi bhar-bhar ke lauTti khushbu gahri gahri si jhaankti andar man samundar ko naapti khushbu kaali raaton mein jaane gham kyuun hai lukti chhupti si saanvari khushbu ban ke alfaaz har su raushan hai 'mir' ki jaise shaaeri khushbu le ke jazbaat apne honTon pe rah gai chup si bolti khushbu"
Urdu

باورے من کی باوری خوشبو گیتوں غزلوں سی موہنی خوشبو موسم عشق کا پیام لئے آسمانی سی عاشقی خوشبو یا خدا کیا ہے ساحری توبہ خود ہی بھر بھر کے لوٹتی خوشبو گہری گہری سی جھانکتی اندر من سمندر کو ناپتی خوشبو کالی راتوں میں جانے غم کیوں ہے لکتی چھپتی سی سانوری خوشبو بن کے الفاظ ہر سو روشن ہے میرؔ کی جیسے شاعری خوشبو لے کے جذبات اپنے ہونٹوں پہ رہ گئی چپ سی بولتی خوشبو

Hindi

बावरे मन की बावरी ख़ुशबू गीतों ग़ज़लों सी मोहनी ख़ुशबू मौसम-ए-इश्क़ का पयाम लिए आसमानी सी आशिक़ी ख़ुशबू या ख़ुदा क्या है साहिरी तौबा ख़ुद ही भर-भर के लौटती ख़ुशबू गहरी गहरी सी झाँकती अंदर मन समुंदर को नापती ख़ुशबू काली रातों में जाने ग़म क्यूँ है लुकती छुपती सी साँवरी ख़ुशबू बन के अल्फ़ाज़ हर सू रौशन है 'मीर' की जैसे शायरी ख़ुशबू ले के जज़्बात अपने होंटों पे रह गई चुप सी बोलती ख़ुशबू

bāvre man kī bāvrī ḳhushbū
Aradhana Prasad
Aradhana Prasad
Aradhana Prasad
poet11 quotes

More by Aradhana Prasad

View all →
Quote
"mere hamdam mujhe meri khushi aur gham se kyaa matlab tu aisaa tiir hai jis ko kisi marham se kyaa matlab dikhaataa hai mujhe tu is liye ye sab ki tasvirein mujhe bas tujh se matlab hai kisi album se kyaa matlab bikharte hain jo raaton ko hare patton pe kuchh moti uDaati hai sahar un ko use shabnam se kyaa matlab tumhaare chaahne vaale hain laakhon log duniyaa mein tumhein bas un se matlab hai tumhein ab ham se kyaa matlab mujhe kyaa farq paDtaa hai december biit jaane se udaasi meri fitrat hai ise mausam se kyaa matlab"
Aradhana PrasadAradhana Prasad
Quote
"khilte khilte gul murjhaanaa main bhi dekhun tu bhi dekh hanste hanste aansu aana main bhi dekhun tu bhi dekh mauqa bhi hai fursat bhi hai aur gulon par rangat bhi mausam kaa andaaz suhaanaa main bhi dekhun tu bhi dekh kis ne ye zulfein kholi hain bhigaa bhigaa mausam hai baadal kaa ye aag lagaanaa main bhi dekhun tu bhi dekh sunte hain ye baagh-e-khushi hai duur yahaan gham hotaa hai is ko kahte hain mai-khaana main bhi dekhun tu bhi dekh duur gham-e-duniyaa se rah kar pyaar ke naghme ham gaaein nazmon kaa dil par chhaa jaanaa main bhi dekhun tu bhi dekh andar andar main bikhri huun baahar baahar tu bikhraa ulfat kaa aisaa nazraana main bhi dekhun tu bhi dekh"
Aradhana PrasadAradhana Prasad

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud