"mere sar se kyaa gharaz sarkaar ko dekhiye apne dar-o-divaar ko ye ghaTaa aisi ghaTaa itni ghaTaa mai halaal aise mein hai mai-khvaar ko dhamkiyaan dete ho kyaa talvaar ki ham lagaate hain gale talvaar ko apni apni sab dikhaate hain bahaar gul bhi gulshan se chale baazaar ko taaq se miinaa utaar aai bahaar taaq par rakh shaikh istighfaar ko DhunDhtaa phirtaa hai ku-e-ghair mein dil 'mubaarak' ko 'mubaarak' yaar ko"
begaana-e-vafaa tiraa sheva hi aur hai — Mubarak Azimabadi
"begaana-e-vafaa tiraa sheva hi aur hai ahl-e-vafaa kaa taur-tariqa hi aur hai dair o haram ki raah mein rakhte nahin qadam ham rah-ravaan-e-shauq kaa rasta hi aur hai dil bevafaa ke haath na bechegaa baa-vafaa tum se nahin banegaa ye saudaa hi aur hai allaah dil na tum ko taDaptaa huaa dikhaae dekhaa na jaaegaa ye tamaashaa hi aur hai jalva-farosh aap hain main dil-farosh huun aison se kyaa banegaa ye saudaa hi aur hai TukDe hain dil jigar ke 'mubaarak' ki sher hain ghazlon kaa aap ki to safina hi aur hai"
بیگانۂ وفا ترا شیوہ ہی اور ہے اہل وفا کا طور طریقہ ہی اور ہے دیر و حرم کی راہ میں رکھتے نہیں قدم ہم رہروان شوق کا رستہ ہی اور ہے دل بے وفا کے ہاتھ نہ بیچے گا باوفا تم سے نہیں بنے گا یہ سودا ہی اور ہے اللہ دل نہ تم کو تڑپتا ہوا دکھائے دیکھا نہ جائے گا یہ تماشا ہی اور ہے جلوہ فروش آپ ہیں میں دل فروش ہوں ایسوں سے کیا بنے گا یہ سودا ہی اور ہے ٹکڑے ہیں دل جگر کے مبارکؔ کہ شعر ہیں غزلوں کا آپ کی تو سفینہ ہی اور ہے
बेगाना-ए-वफ़ा तिरा शेवा ही और है अहल-ए-वफ़ा का तौर-तरीक़ा ही और है दैर ओ हरम की राह में रखते नहीं क़दम हम रह-रवान-ए-शौक़ का रस्ता ही और है दिल बेवफ़ा के हाथ न बेचेगा बा-वफ़ा तुम से नहीं बनेगा ये सौदा ही और है अल्लाह दिल न तुम को तड़पता हुआ दिखाए देखा न जाएगा ये तमाशा ही और है जल्वा-फ़रोश आप हैं मैं दिल-फ़रोश हूँ ऐसों से क्या बनेगा ये सौदा ही और है टुकड़े हैं दिल जिगर के 'मुबारक' कि शेर हैं ग़ज़लों का आप की तो सफ़ीना ही और है

More by Mubarak Azimabadi
View all →"naavak kahein sinaan kahein talvaar kyaa kahein tu hi bataa tujhe nigah-e-yaar kyaa kahein shikva na daam kaa hai na sayyaad kaa gila ham aap ho gae hain giraftaar kyaa kahein izhaar-e-haal-e-zaar kaa aison se faaeda aazaar dil kaa tujh se dil-aazaar kyaa kahein karte hain vaaiz aap mazammat sharaab ki kahte hain kyaa janaab ko mai-khvaar kyaa kahein aison se tark-e-mai kaa 'mubaarak' savaal kyaa tauba ki tujh se rind-e-qadah-khvaar kyaa kahein"
"mohabbat mein Thani aksar yahaan tak ki pahunche maarke tiir o kamaan tak chale naavak khinchi zaalim kamaan tak kahaan tak imtihaan aakhir kahaan tak chale jaate hain aavaaz-e-jaras par pahunch jaaeinge bichhDe kaarvaan tak havaa-e-shauq ke jhonke salaamat rahoge tum pas-e-parda kahaan tak na vo ayyaar mujh se puchhtaa hai na dil ki baat aati hai zabaan tak usi sar ko sar-e-shorida kahiye jo pahunche us ke sang-e-aastaan tak niyaaz o naaz ke charche raheinge hamaari aur tumhaari daastaan tak 'mubaarak' ko koi din aur sun lo bayaan kaa lutf hai us khush-bayaan tak"
"dekhe use har aankh kaa ye kaam nahin hai kuchh khel tamaashaa-e-lab-e-baam nahin hai main mo'tarif-e-jurm huun jo chaaho sazaa do ilzaam-e-tamannaa koi ilzaam nahin hai vo subh bhi hoti hai shab-e-taar se paidaa jis ko khatar-e-tirgi-e-shaam nahin hai jo dil hai vo labrez-e-tamannaa hai 'mubaarak' is jaam se achchhaa to koi jaam nahin hai"
"na laae taab-e-did ausaan vaale tire jalve bhi hain kyaa shaan vaale hazaaron mai-kade sar par liye hain ye baadal hain baDe saamaan vaale main un se apne armaan kah rahaa huun vo kahte hain baDe armaan vaale tiri kaafir-adaa ne kis ko chhoDaa kahin imaan se imaan vaale hasinon se 'mubaarak' dab ke milnaa ki hain vo aan vaale shaan vaale"
"baghal mein ham ne raat ik ghairat-e-mahtaab dekhaa hai tumhin is khvaab ki taabir ho kyaa khvaab dekhaa hai taDap bijli ki bhi dekhi hai vo dil thaam lete hain tiri be-taabiyon ko bhi dil-e-betaab dekhaa hai vo ulfat dost hon naaseh duaa hi dil se nikli hai agar dushman ke ghar bhi majma-e-ahbaab dekhaa hai khudaa ke saamne ai mohtasib sach bolnaa hogaa mire saaghar mein mai dekhi hai yaa khun-naab dekhaa hai 'mubaarak' iztiraab-e-shauq kaa aalam nahin chhuptaa ki jab dekhaa hai ham ne aap ko betaab dekhaa hai"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"