Quote
"chalte rahne ke liye dil mein gumaan koi to ho be-natija hi sahi par imtihaan koi to ho aasmaanon ke sitam sahti hain is ke baavajud sab zaminein chaahti hain aasmaan koi to ho mehrbaanon hi se bach kar aae the tum dasht mein ab yahaan bhi lag rahaa hai mehrbaan koi to ho qahqahon ko yaad rakhti hi nahin duniyaa kabhi is liye dukh ki bhi pyaare daastaan koi to ho kar rahaa huun main darakhton se musalsal guftugu is ghane jangal mein 'daanish' ham-zabaan koi to ho"
