SHAWORDS

din ne itnaa jo marizaana banaa rakkhaa hai — Farhat Ehsas

HomeFarhat EhsasGhazal
"din ne itnaa jo marizaana banaa rakkhaa hai raat ko ham ne shifaa-khaana banaa rakkhaa hai intiqaam aisaa liyaa hai miri tanhaai ne shahr kaa shahr bayaabaana banaa rakkhaa hai khaak kaa khaana gharibaana-badan hai ki jise raunaq-e-ishq ne shaahaana banaa rakkhaa hai ham ko maalum hai khuub apni haqiqat so use usi unvaan kaa afsaana banaa rakkhaa hai mubtazil hone kaa aap apnaa maza hai varna ham ne bhi khud ko hakimaana banaa rakkhaa hai aadmi ho ki khudaa sab kaa baraabar hai vazn ishq ne ek hi paimaana banaa rakkhaa hai chaak kar kar ke hue tang to divaanon ne chaak ko ab ke garibaana banaa rakkhaa hai 'farhatullah' hai vo aql kaa putlaa jis ne farhat-ehsaas ko divaana banaa rakkhaa hai"
Urdu

دن نے اتنا جو مریضانہ بنا رکھا ہے رات کو ہم نے شفا خانہ بنا رکھا ہے انتقام ایسا لیا ہے مری تنہائی نے شہر کا شہر بیابانہ بنا رکھا ہے خاک کا خانہ غریبانہ بدن ہے کہ جسے رونق عشق نے شاہانہ بنا رکھا ہے ہم کو معلوم ہے خوب اپنی حقیقت سو اسے اسی عنوان کا افسانہ بنا رکھا ہے مبتذل ہونے کا آپ اپنا مزہ ہے ورنہ ہم نے بھی خود کو حکیمانہ بنا رکھا ہے آدمی ہو کہ خدا سب کا برابر ہے وزن عشق نے ایک ہی پیمانہ بنا رکھا ہے چاک کر کر کے ہوئے تنگ تو دیوانوں نے چاک کو اب کے گریبانہ بنا رکھا ہے فرحت اللہؔ ہے وہ عقل کا پتلا جس نے فرحتؔ احساس کو دیوانہ بنا رکھا ہے

Hindi

दिन ने इतना जो मरीज़ाना बना रक्खा है रात को हम ने शिफ़ा-ख़ाना बना रक्खा है इंतिक़ाम ऐसा लिया है मिरी तन्हाई ने शहर का शहर बयाबाना बना रक्खा है ख़ाक का ख़ाना ग़रीबाना-बदन है कि जिसे रौनक़-ए-इश्क़ ने शाहाना बना रक्खा है हम को मा'लूम है ख़ूब अपनी हक़ीक़त सो उसे उसी उन्वान का अफ़्साना बना रक्खा है मुब्तज़िल होने का आप अपना मज़ा है वर्ना हम ने भी ख़ुद को हकीमाना बना रक्खा है आदमी हो कि ख़ुदा सब का बराबर है वज़्न इश्क़ ने एक ही पैमाना बना रक्खा है चाक कर कर के हुए तंग तो दीवानों ने चाक को अब के गरीबाना बना रक्खा है 'फ़र्हतुल्लाह' है वो अक़्ल का पुतला जिस ने फ़रहत-एहसास को दीवाना बना रक्खा है

din ne itnā jo marīzāna banā rakkhā hai
Farhat Ehsas
Farhat Ehsas
Farhat Ehsas
poet286 quotes

More by Farhat Ehsas

View all →
Quote
"badan baandhe hue saanson ki rahdaari mein rahte hain ki ham har dam kahin jaane ki tayyaari mein rahte hain na hon aansu to ye aankhein bhali lagti nahin ham ko so aksar aap apni hi dil-aazaari mein rahte hain hamein maa'lum hai raunaq ye baazaaron ki jhuTi hai magar phir bhi fareb-e-husn-e-baazaari mein rahte hain ham ahl-e-'ishq phir ahl-e-havas se maat khaa baiThe vazifa-khvaar bazm-e-husn-e-darbaari mein rahte hain hamaare dil to hain masruf sarkaarein giraane mein badan taa'mil-e-ahkaamaat-e-sarkaari mein rahte hain dabe hain khaak mein kitne hi suraj chaand aur taare so ham apni zamin ki aasmaan-kaari mein rahte hain hamaari shaa'iri ik mustaqil holi kaa mausam hai hazaaron rang is lafzon ki pichkaari mein rahte hain ‘janaab-e-farhat-ehsaas' ab na shahri hain na sahraai musalsal darmiyaan-e-khvaab-o-be-daari mein rahte hain"
Farhat EhsasFarhat Ehsas
Quote
"pahle to zaraa saa haT ke dekhaa us shokh se phir lipaT ke dekhaa itni bhi buri na thi jo main ne duniyaa ko zaraa saa haT ke dekhaa dekhaa use us kaa ho ke aur phir kyaa farq paDegaa kaT ke dekhaa ham jama hue hi jaa rahe the aaraam milaa jo ghaT ke dekhaa bas ek hi khvaab thaa ki jis ko taa-umr ulaT-palaT ke dekhaa vo aur qarib aa gayaa thaa jab main ne zaraa simaT ke dekhaa phir dil ne mire gham aur khushi ko rassi ki tarah se baT ke dekhaa kal Duub rahaa thaa 'farhat-ehsaas' ham ne bhi tamaashaa DaT ke dekhaa"
Farhat EhsasFarhat Ehsas
Quote
"dabaa paDaa hai kahin dasht mein khazaana miraa tu kis talaash mein hai shahr mein divaana miraa tamaam raat hai aankhon se aansuon ki kashid tamaam raat khulaa hai sharaab-khaana miraa ye meri ruuh kaa jhagDaa thaa aasmaan ke saath bilaa-qusur badan ban gayaa nishaana miraa falak ke sar pe paDe hain meri zamin ke paanv mire sirhaane se unchaa hai paaitaana miraa main ek zakhm baraabar zamin pe rahtaa huun vo kah rahe hain ye qabza hai ghaasibaana miraa to aao ahl-e-jahaan is pe faisla kar lein makaan saaraa tumhaaraa darun-e-khaana miraa khud apne aap mein hai saari meri aamad-o-raft kahin se aanaa na ab hai kahin bhi jaanaa miraa kahaan kaa 'ishq havas tak bhi ho nahin sakti yahi rahegaa jo andaaz mujrimaana miraa bikherni hai jise zulf us kaa istiqbaal vabaal-e-shahr se khaali hai ek shaana miraa main khuub faaqa na kartaa to mar gayaa hotaa mire khilaaf saf-aaraa thaa aab-o-daana miraa kabhi khudaa kabhi insaan raah mein haail khud apne aap se rishta bhi ghaaebaana miraa kahin mire kisi lamhe se phir hui koi chuuk phir aate aate kahin rah gayaa zamaana miraa tire ghayaab ki khidmat mein saaraa meraa qusur vujud phir bhi vahi ghair-haaziraanaa miraa vo mere lafz ke donon suron se vaaqif hai kabhi bhi kaam na aayaa koi bahaana miraa"
Farhat EhsasFarhat Ehsas
Quote
"ye khubaan shahr ke ham se bahut hushyaari karte hain hamein saada samajh kar khuub khush-guftaari karte hain baDi mushkil se toDe hain ye maa’mulaat-e-hijr aakhir so ik 'arsa huaa din mein hi shab-bedaari karte hain nahin paate dar-o-divaar mein ghar ki koi surat to ham ghar ke tasavvur mein dar-o-divaari karte hain kahaani jo karaati hai vahi to ham ko karnaa hai bhalaa ho yaa buraa ho ham to bas kirdaari karte hain hamein tayyaar hone ki zarurat hi nahin paDti ki saari zindagi marne ki hi tayyaari karte hain to ham qaanun-shikni ki tarah karte hain raat apni sahar se shaam tak har kaam jab sarkaari karte hain sharaabein to kalidein hain lahu ke qaid-khaanon ki so taale toDte hain aur dariyaa jaari karte hain sunaa hai tandurusti 'ishq mein achchhi nahin hoti chalo ji 'farhat-ehsaas' ab zaraa bimaari karte hain"
Farhat EhsasFarhat Ehsas

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud