SHAWORDS

dusre naam se jiyaa jaae — Nomaan Shauque

HomeNomaan ShauqueGhazal
"dusre naam se jiyaa jaae zahr shohrat hai kyon piyaa jaae haar maane pe vaar kyaa karnaa 'aql ko raasta diyaa jaae ye bhi mumkin hai mar miTein tum par ye bhi mumkin hai ji liyaa jaae aur kuchh zehn se nikaltaa nahin yaa'ni khud ko bhulaa diyaa jaae aaj yaum-e-shahaadat-e-haq hai aaj chup-chaap rah liyaa jaae jism ke jaagne kaa vaqt hai ye ab mujhe lauTne diyaa jaae khush-gumaani ke jal chuke baaghaat ab to qibla badal liyaa jaae"
Urdu

دوسرے نام سے جیا جائے زہر شہرت ہے کیوں پیا جائے ہار مانے پہ وار کیا کرنا عقل کو راستہ دیا جائے یہ بھی ممکن ہے مر مٹیں تم پر یہ بھی ممکن ہے جی لیا جائے اور کچھ ذہن سے نکلتا نہیں یعنی خود کو بھلا دیا جائے آج یوم شہادت حق ہے آج چپ چاپ رہ لیا جائے جسم کے جاگنے کا وقت ہے یہ اب مجھے لوٹنے دیا جائے خوش گمانی کے جل چکے باغات اب تو قبلہ بدل لیا جائے

Hindi

दूसरे नाम से जिया जाए ज़ह्र शोहरत है क्यों पिया जाए हार माने पे वार क्या करना 'अक़्ल को रास्ता दिया जाए ये भी मुमकिन है मर मिटें तुम पर ये भी मुमकिन है जी लिया जाए और कुछ ज़ेहन से निकलता नहीं या'नी ख़ुद को भुला दिया जाए आज यौम-ए-शहादत-ए-हक़ है आज चुप-चाप रह लिया जाए जिस्म के जागने का वक़्त है ये अब मुझे लौटने दिया जाए ख़ुश-गुमानी के जल चुके बाग़ात अब तो क़िबला बदल लिया जाए

dūsre naam se jiyā jaa.e
Nomaan Shauque
Nomaan Shauque
Nomaan Shauque
poet160 quotes

More by Nomaan Shauque

View all →
Quote
"din-ba-din ghaTti hui umr pe naazil ho jaae ik badan aur miri ruuh ko haasil ho jaae morche kholtaa rahtaa huun samundar ke khilaaf jis ko miTnaa hai vo aae miraa saahil ho jaae khel hi khel mein chhu luun main kinaaraa apnaa aise souun ki jagaanaa mujhe mushkil ho jaae lag ke bimaar ke siine se na ronaa aise zindagaani ki tarah maut bhi mushkil ho jaae rakh rahe hain tire patthar mire zakhmon kaa hisaab ab ye majmaa bhi mire kashf kaa qaael ho jaae is qadar der na karnaa ki ye aaseb-nagar raat kaa ruup le aur jism mein daakhil ho jaae jang apnon se hai to dil ko kinaare kar luun raaste mein yahi talvaar na haael ho jaae"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"aaThon pahar kaa ye tiraa mazdur aa gayaa jannat ke dvaar khol miri huur aa gayaa paighambari kaa daa'vaa nahin 'aashiqi kaa hai patthar na maariye jo sar-e-tur aa gayaa sab ne suni jo raat ki lalkaar Dar gae siina thaa jis kaa nuur se maa'mur aa gayaa aaghosh us ki aisi puraani sharaab thi nashshe mein khvaahishon ke bahut duur aa gayaa basta uThaaiye ki ye maktab nahin hai vo basti badal gai nayaa dastur aa gayaa kyaa chaahiye ghulaam ko bas ik nazar ki bhiik shartein tamaam aap ki manzur aa gayaa"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"zamin hasb-e-zarurat ugaai jaati hai phir ek saanche mein khilqat banaai jaati hai khabar mein hain jo kai zar-kharid qissa-go hamein unhin ki kahaani sunaai jaati hai hamaari bazm mein jalte nahin charaagh ke saath yahaan charaagh ki dahshat jalaai jaati hai tamaam raat kaa jaagaa huun maa'zarat mire dost buraa na maan agar niind aai jaati hai hamaare jaam mein ilzaam ke sivaa nahin kuchh hamein sharaab ki tohmat pilaai jaati hai main khud se jang kaa e'laan karne vaalaa huun jo haari jaati nahin hai haraai jaati hai hamaare 'ahd kaa sarmaaya hain ye taalib-e-‘ilm inhein kitaab se nafrat sikhaai jaati hai zamin par hai tamaam andhe 'aashiqon kaa hujum yahaan vafaa bhi nahin aazmaai jaati hai ye kaise khvaab ki takmil mein lagaa hai jahaan ki zahr de ke mohabbat sulaai jaati hai"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb