SHAWORDS

ghazlon ko ye andaaz-e-hunar kaaT rahaa hai — Ejaz Ansari

HomeEjaz AnsariGhazal
"ghazlon ko ye andaaz-e-hunar kaaT rahaa hai hiiraa hai ki shishe kaa jigar kaaT rahaa hai beTe ki paDhaai pe kiyaa jis ne bahut kharch beTaa ab usi baap kaa sar kaaT rahaa hai hairat hai ki uDnaa abhi sikhaa nahin jis ne vo bhi mire baazu mire par kaaT rahaa hai dekhun tiri jaanib to larazti hain nigaahein vahshat mujhe itni hai ki ghar kaaT rahaa hai vo mujh se mukhaatib hai is andaaz mein 'e’jaaz' jaise kisi jaadu kaa asar kaaT rahaa hai"
Urdu

غزلوں کو یہ انداز ہنر کاٹ رہا ہے ہیرا ہے کہ شیشے کا جگر کاٹ رہا ہے بیٹے کی پڑھائی پہ کیا جس نے بہت خرچ بیٹا اب اسی باپ کا سر کاٹ رہا ہے حیرت ہے کہ اڑنا ابھی سیکھا نہیں جس نے وہ بھی مرے بازو مرے پر کاٹ رہا ہے دیکھوں تری جانب تو لرزتی ہیں نگاہیں وحشت مجھے اتنی ہے کہ گھر کاٹ رہا ہے وہ مجھ سے مخاطب ہے اس انداز میں اعجازؔ جیسے کسی جادو کا اثر کاٹ رہا ہے

Hindi

ग़ज़लों को ये अंदाज़-ए-हुनर काट रहा है हीरा है कि शीशे का जिगर काट रहा है बेटे की पढ़ाई पे किया जिस ने बहुत ख़र्च बेटा अब उसी बाप का सर काट रहा है हैरत है कि उड़ना अभी सीखा नहीं जिस ने वो भी मिरे बाज़ू मिरे पर काट रहा है देखूँ तिरी जानिब तो लरज़ती हैं निगाहें वहशत मुझे इतनी है कि घर काट रहा है वो मुझ से मुख़ातिब है इस अंदाज़ में 'ए'जाज़' जैसे किसी जादू का असर काट रहा है

ġhazloñ ko ye andāz-e-hunar kaaT rahā hai
Ejaz Ansari
Ejaz Ansari
Ejaz Ansari
poet20 quotes

More by Ejaz Ansari

View all →
Quote
"kyaa khabar thi ek din ye haadisa ho jaaegaa umr bhar chaahaa jise vo bevafaa ho jaaegaa ho agar azm-e-musammam khvaahish-e-manzil ke saath raah kaa patthar bhi ik din rahnumaa ho jaaegaa is qadar baDhne lagi hai har taraf aaludgi saans lenaa aadmi kaa masala ho jaaegaa zindagi bhar saath chalne ki jo khaataa hai qasam dekhnaa vo raaste hi mein judaa ho jaaegaa ab tumhaaraa koi khat koi khabar milti nahin aise aalam mein to jiinaa bhi sazaa ho jaaegaa sar uThaate hain yahaan bhi asr-e-haazir ke yazid kal ye khitta bhi mahaaz-e-karbalaa ho jaaegaa kuchh na kuchh 'ejaaz' naghme likh vatan ke naam par is tarah se shaairi kaa haq adaa ho jaaegaa"
Ejaz AnsariEjaz Ansari
Quote
"raasta be-zabaan be-sadaa bhi nahin koi muD kar magar dekhtaa bhi nahin mere lahje se naa-aashnaa bhi nahin koi darvaaza lekin khulaa bhi nahin 'umr-bhar ham bhaTakte rahe dar-ba-dar koi manzil koi raasta bhi nahin sar jhukaa kar mile doston se magar qad hamaaraa kisi se ghaTaa bhi nahin khud ki nazron mein gir kar pata ye chalaa is se baDh kar to koi sazaa bhi nahin ai falak tu hamaaraa nigahbaan hai in fasaadon mein ab kuchh bachaa bhi nahin inkisaari se milte hain 'e'jaaz' ham varna ham se to koi baDaa bhi nahin"
Ejaz AnsariEjaz Ansari
Quote
"ilaahi tu miri taqdir ko tanhaaiyaan de de magar us ki shabon ko anjuman-aaraaiyaan de de dilon ko jazba-e-‘ishq-o-mohabbat bakhshne vaale use mashhur kar de aur mujhe rusvaaiyaan de de agar mere ta'alluq se koi paighaam denaa hai to lahje ko asar aur fikr ko gahraaiyaan de de dar-o-divaar ki ye be-hisi kab tak sahun aakhir miri khalvat ko bhi kuchh 'aks kuchh parchhaaiyaan de de udaasi tujh se jab 'e'jaaz' dekhi hi nahin jaati to phir is gham-zada maahaul ko shahnaaiyaan de de"
Ejaz AnsariEjaz Ansari
Quote
"khudaa use bhi kisi din zavaal detaa hai zamaana jis ke hunar ki misaal detaa hai vo jab shu'ur ko lafzon mein Dhaal detaa hai 'ajib soch niraale khayaal detaa hai koi samajh na sakaa us ki den kaa andaaza kabhi khushi kabhi ranj-o-malaal detaa hai kabhi vo zakhm lagaataa hai mere siine par kabhi vo paanv se kaanTaa nikaal detaa hai usi ne di hai gunaah-o-savaab ki tafriq vahi shuur-e-haraam-o-halaal detaa hai mire khudaa use sanjidgi 'ataa kar de vo meri baat ko hans hans ke Taal detaa hai kabhi kinaare bhi kashti bachaa nahin sakte kabhi bhanvar bhi safine uchhaal detaa hai vo kar guzartaa hai aksar miraa junun 'ejaaz' ki jo khirad ko bhi hairat mein Daal detaa hai"
Ejaz AnsariEjaz Ansari