Quote
"khud main hi guzar ke thak gayaa huun main kaam na kar ke thak gayaa huun uupar se utar ke taaza-dam thaa niche se utar ke thak gayaa huun ab tum bhi to ji ke thak rahe ho ab main bhi to mar ke thak gayaa huun main yaani azal kaa aarmida lamhon mein bikhar ke thak gayaa huun ab jaan kaa meri jism shal hai main khud se hi Dar ke thak gayaa huun"
