SHAWORDS

zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa — Anees Qalb

HomeAnees QalbGhazal
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Urdu

زندگی دشوار ہوگی یہ کبھی سوچا نہ تھا وہ بگولے غم کے اٹھے جن کا اندیشہ نہ تھا سامنے تم آ گئے ہو تو بتا دوں جان جاں جیسے دل دھڑکا تھا اب کہ ویسے دل دھڑکا نہ تھا یہ ارادہ کر لیا تھا ہم نہ بچھڑیں گے کبھی ٹوٹیں گے اک پل میں رشتے یہ کبھی سوچا نہ تھا یاد ماضی مٹ رہی ہے وقت کی رفتار سے اب تصور میں ہمارے کوئی بھی چہرہ نہ تھا سخت حیرت ہو رہی ہے دیکھ کر اپنا وجود دھوپ میں تھے سب کے سایہ پر مرا سایا نہ تھا شوق منزل دیکھ میری دیکھ میرا حوصلہ شہر دل کے راستوں میں میں کبھی ٹھہرا نہ تھا قلبؔ کو صحرا نوردی راس کیا آتی بھلا وہ کبھی آوارگی میں در بدر بھٹکا نہ تھا

Hindi

ज़िंदगी दुश्वार होगी ये कभी सोचा न था वो बगूले ग़म के उट्ठे जिन का अंदेशा न था सामने तुम आ गए हो तो बता दूँ जान-ए-जाँ जैसे दिल धड़का था अब कि वैसे दिल धड़का न था ये इरादा कर लिया था हम न बिछड़ेंगे कभी टूटेंगे इक पल में रिश्ते ये कभी सोचा न था याद-ए-माज़ी मिट रही है वक़्त की रफ़्तार से अब तसव्वुर में हमारे कोई भी चेहरा न था सख़्त हैरत हो रही है देख कर अपना वजूद धूप में थे सब के साये पर मिरा साया न था शौक़-ए-मंज़िल देख मेरी देख मेरा हौसला शहर-ए-दिल के रास्तों में मैं कभी ठहरा न था 'क़ल्ब' को सहरा-नवर्दी रास क्या आती भला वो कभी आवारगी में दर-ब-दर भटका न था

zindagī dushvār hogī ye kabhī sochā na thā
Anees Qalb
Anees Qalb
Anees Qalb
poet12 quotes

More by Anees Qalb

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"musibat aai hai to phir musibat se na ghabraanaa diye kaa kaam hai aakhir savere tak jale jaanaa guzaari hijr ki raatein tumhaari yaad mein aksar kabhi jo milne aa jaao bahal jaaegaa divaana nahin hai rashk mujh ko to haveli aur daulat kaa main miTTi kaa huun paikar aur isi mein mujh ko mil jaanaa junun mein raqs karte hi fanaa ho jaaegaa aakhir qarib-e-shama aayaa hai vo dekho ek parvaana na sahraa mein na dariyaa mein na jangal mein bayaabaan mein kahaan par aa gayaa huun main zaraa ye mujh ko samjhaanaa main aavaara saa ik laDkaa maaashi fikr mein uljhaa yahi hai daastaan meri yahi hai meraa afsaana jahaan mahbub ho tum 'qalb' sajda us jagah rakhnaa haram ho dair ho chaahe kalisaa ho yaa but-khaana"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"naa-aashnaa gar mujh se mire yaar na hote haalaat se ham aise to bezaar na hote is tarah mujhe aap ne chhoDaa nahin hotaa daaman mein mire phuul the ye khaar na hote hote na zulekhaa se kharidaar to shaayad yusuf ke liye misr ke baazaar na hote kar detaa agar ham pe inaayat ki nazar tu phir teri nazar ke hi talabgaar na hote khalte na mujhe shaam-o-sahar ke ye ujaale jo jurm-e-mohabbat ke sazaa-vaar na hote phir ishq mein kartaa na main ehsaas-e-nadaamat tum jaise bhi hote pa jafaa-kaar na hote ham ko bhi kahaan shauq thaa mai-khvaari kaa saaqi gar ishq na hotaa to yuun mai-khvaar na hote har khvaab ki taabir hi ho jaati mukammal ham kaash tire ishq mein bedaar na hote afsurda saa dariyaa thaa to kyaa chaahte saahil ham vo the shanaavar jo kabhi paar na hote hote na sadaf 'qalb' tiri aankh ke khaali palkon pe agar abr-e-guhar-baar na hote"
Anees QalbAnees Qalb

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"bahut khajil hain ki ham raaegaan bhi zinda rahe jahaan pe tu bhi nahin thaa vahaan bhi zinda rahe ajiib shart hai is be-yaqin mizaaj ki bhi ki tu bhi paas ho teraa gumaan bhi zinda rahe tujhe pe zid hai magar is tarah nahin hotaa ki tu bhi zinda rahe daastaan bhi zinda rahe vo kaun log the jin kaa vajud jism se thaa ye kaun hain jo pas-e-jism-o-jaan bhi zinda rahe jo ye na ho to sukhan kaa koi javaaz nahin zamir zinda rahe to zabaan bhi zinda rahe ye kaaenaat faqat manfaat kaa naam nahin koi yahaan pe baraae ziyaan bhi zinda rahe adam mein jo bhi nahin thaa vo sab vajud mein thaa ye ham hi the jo kahin darmiyaan bhi zinda rahe"
Irfan SattarIrfan Sattar