SHAWORDS

ho gayaa jis din se apnaa dil udaas — Muztar Muzaffarpuri

"ho gayaa jis din se apnaa dil udaas ho gai duniyaa ki har mahfil udaas daagh-haa-e-yaas se hai dil udaas sham-e-mahfil se hui mahfil udaas marne vaale jitne the kyaa mar gae phir rahaa hai aaj kyon qaatil udaas dast-e-qaatil mein hinaa hai khuun nahin is liye hai shokhi-e-qaatil udaas pher li kis ne mohabbat ki nigaah ho rahaa hai kyon hamaaraa dil udaas vaqt-e-aakhir kyon na ho afsurdagi subh ko ho jaati hai mahfil udaas bekasi gor-e-gharibaan ki na puchh uf hai kaTti aakhiri manzil udaas aaegaa haan vo sitamgar aaegaa ho na itnaa 'muztar'-e-be-dil udaas"
Urdu

ہو گیا جس دن سے اپنا دل اداس ہو گئی دنیا کی ہر محفل اداس داغ ہائے یاس سے ہے دل اداس شمع محفل سے ہوئی محفل اداس مرنے والے جتنے تھے کیا مر گئے پھر رہا ہے آج کیوں قاتل اداس دست قاتل میں حنا ہے خوں نہیں اس لئے ہے شوخیٔ قاتل اداس پھیر لی کس نے محبت کی نگاہ ہو رہا ہے کیوں ہمارا دل اداس وقت آخر کیوں نہ ہو افسردگی صبح کو ہو جاتی ہے محفل اداس بیکسی گور غریباں کی نہ پوچھ اف ہے کٹتی آخری منزل اداس آئے گا ہاں وہ ستم گر آئے گا ہو نہ اتنا مضطرؔ بے دل اداس

Hindi

हो गया जिस दिन से अपना दिल उदास हो गई दुनिया की हर महफ़िल उदास दाग़-हा-ए-यास से है दिल उदास शम-ए-महफ़िल से हुई महफ़िल उदास मरने वाले जितने थे क्या मर गए फिर रहा है आज क्यों क़ातिल उदास दस्त-ए-क़ातिल में हिना है ख़ूँ नहीं इस लिए है शोख़ी-ए-क़ातिल उदास फेर ली किस ने मोहब्बत की निगाह हो रहा है क्यों हमारा दिल उदास वक़्त-ए-आख़िर क्यों न हो अफ़्सुर्दगी सुब्ह को हो जाती है महफ़िल उदास बेकसी गोर-ए-ग़रीबाँ की न पूछ उफ़ है कटती आख़िरी मंज़िल उदास आएगा हाँ वो सितमगर आएगा हो न इतना 'मुज़्तर'-ए-बे-दिल उदास

ho gayā jis din se apnā dil udaas
M
Muztar Muzaffarpuri
Muztar Muzaffarpuri
poet18 quotes

More by Muztar Muzaffarpuri

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"shughl hi shughl hai aur aah-e-sahar se kyaa kaam dard-mandaan-e-mohabbat ko asar se kyaa kaam aabru apni salaamat rahe zar se kyaa kaam ashk-e-tar se mujhe matlab hai guhar se kyaa kaam yaad se gesu-o-rukh ki jinhein matlab Thahraa shaam se un ko gharaz kyaa hai sahar se kyaa kaam tu ho zulfein hon tiri shaana ho aaina ho tujh ko be-dard mire dard-e-jigar se kyaa kaam teri ulfat hi nahin dil mein to dil se matlab teraa saudaa hi nahin sar mein to sar se kyaa kaam sarguzasht-e-dil-e-majruh likhi zaalim ko hijr mein ham ne liyaa khun-e-jigar se kyaa kaam jin ko hans hans ke rulaanaa hi faqat aataa ho un ke daaman ko mire dida-e-tar se kyaa kaam dil-e-naazuk na dhaDak jaae kisi kaa 'muztar' khuun jab ye ho to naalon ko asar se kyaa kaam"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"us ko huaa hai pyaar kaa aazaar kis tarah nargis chaman mein ho gai bimaar kis tarah dil par karam kare nigah-e-yaar kis tarah bimaar se ho pursish-e-bimaar kis tarah aankhein hain kor jalva-e-jaanaan nazaara-soz niklegi dil se hasrat-e-didaar kis tarah marnaa thaa sahl paas-e-vafaa se na mar sakaa itni si baat ho gai dushvaar kis tarah dil mein bandhaa tasavvur-e-zulf-e-daraaz-e-yaar zanjir ho gai hai giraftaar kis tarah ai aah-e-garm teri to shokhi nahin hai ye kumhlaa gae hain phuul se rukhsaar kis tarah itnaa koi khudaa ke liye aa ke dekh le dam toDtaa hai 'muztar'-e-bimaar kis tarah"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"dil kar rahaa hai kyon nigah-e-yaar ki talaash bimaar ko bhi hoti hai bimaar ki talaash ab tiir ki talaash na talvaar ki talaash dil ko faqat hai abru-e-khamdaar ki talaash jalve ko phir hai madd-e-nazar imtihaan-e-hosh phir tuur ko hai taalib-e-didaar ki talaash tere khayaal tere tasavvur ke saamne bimaar-e-ishq ko nahin gham-khvaar ki talaash chhaaegi hashr mein jo ghaTaa lutf-e-aam ki rahmat karegi khud hi gunahgaar ki talaash talvon ko mere dasht-navardi ki aarzu aur aablon ko vaadi-e-pur-khaar ki talaash 'muztar' kisi ki dil hi mein karni thi justuju dair-o-haram mein aap ne bekaar ki talaash"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"kaam hai jam se na matlab jaam se aashnaa hain lab tumhaare naam se lab-ba-lab huun saaqi-e-gulfaam se aariyat le lein muqaddar jaam se ghar banaanaa hai kisi ki yaad kaa kaam lenaa hai dil-e-naakaam se dil bhi aankhon ki tarah mushtaaq hai lo utar aao tum apne baam se chhaa rahi hai mai-kashon par be-khudi kyaa kahaa shishe ne jhuk kar jaam se ik sitamgar se laDaataa huun nigaah jaam ko Takraa rahaa huun jaam se eid hai hangaama-e-mahshar nahin vo mileinge aaj khaas-o-aam se qabr bhi jannat hai momin ke liye chal ke 'muztar' so raho aaraam se"
M
Muztar Muzaffarpuri

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil