"ye sach hai yahaan shor ziyaada nahin hotaa ghar-baar ke baazaar main par kyaa nahin hotaa jabr-e-dil-e-be-mehr kaa charchaa nahin hotaa taariki-e-shab mein koi chehra nahin hotaa har jazba-e-maasum ki lag jaati hai boli kahne ko kharidaar paraayaa nahin hotaa aurat ke khudaa do hain haqiqi o majaazi par us ke liye koi bhi achchhaa nahin hotaa shab-bhar kaa tiraa jaagnaa achchhaa nahin 'zehraa' phir din kaa koi kaam bhi puuraa nahin hotaa"
is ummid pe roz charaagh jalaate hain — Zehra Nigaah
"is ummid pe roz charaagh jalaate hain aane vaale barson baa'd bhi aate hain ham ne jis raste par us ko chhoDaa hai phuul abhi tak us par khilte jaate hain din mein kirnein aankh-micholi khelti hain raat gae kuchh jugnu milne jaate hain dekhte dekhte ik ghar ke rahne vaale apne apne khaanon mein baT jaate hain dekho to lagtaa hai jaise dekhaa thaa socho to phir naam nahin yaad aate hain kaisi achchhi baat hai 'zehra' teraa naam bachche apne bachchon ko batlaate hain"
اس امید پہ روز چراغ جلاتے ہیں آنے والے برسوں بعد بھی آتے ہیں ہم نے جس رستے پر اس کو چھوڑا ہے پھول ابھی تک اس پر کھلتے جاتے ہیں دن میں کرنیں آنکھ مچولی کھیلتی ہیں رات گئے کچھ جگنو ملنے جاتے ہیں دیکھتے دیکھتے اک گھر کے رہنے والے اپنے اپنے خانوں میں بٹ جاتے ہیں دیکھو تو لگتا ہے جیسے دیکھا تھا سوچو تو پھر نام نہیں یاد آتے ہیں کیسی اچھی بات ہے زہرہؔ تیرا نام بچے اپنے بچوں کو بتلاتے ہیں
इस उम्मीद पे रोज़ चराग़ जलाते हैं आने वाले बरसों ब'अद भी आते हैं हम ने जिस रस्ते पर उस को छोड़ा है फूल अभी तक उस पर खिलते जाते हैं दिन में किरनें आँख-मिचोली खेलती हैं रात गए कुछ जुगनू मिलने जाते हैं देखते देखते इक घर के रहने वाले अपने अपने ख़ानों में बट जाते हैं देखो तो लगता है जैसे देखा था सोचो तो फिर नाम नहीं याद आते हैं कैसी अच्छी बात है 'ज़ेहरा' तेरा नाम बच्चे अपने बच्चों को बतलाते हैं

More by Zehra Nigaah
View all →"dil bujhne lagaa aatish-e-rukhsaar ke hote tanhaa nazar aate hain gham-e-yaar ke hote kyuun badle hue hain nigah-e-naaz ke andaaz apno pe bhi uTh jaati hai aghyaar ke hote viraan hai nazar meri tire rukh ke muqaabil aavaara hain gham kucha-e-dildaar ke hote ik ye bhi adaa-e-dil-e-aashufta-saraan thi baiThe na kahin saaya-e-divaar ke hote jiinaa hai to ji leinge bahar-taur divaane kis baat kaa gham hai rasan-o-daar ke hote"
"lab par khamoshiyon ko sajaae nazar churaae jo ahl-e-dil mein baiThe hain chup-chaap sar jhukaae kah do koi sabaa se idhar aaj-kal na aae kaliyaan kahin mahak na uThein phuul khil na jaae ab dosti vo fan ki jo sikhe vahi nibhaae aur hai vafaa tamaashaa jise aae vo dikhaae kuchh kahnaa jurm hai to khataa-vaar main bhi huun ye aur baat meraa kahaa vo samajh na paae"
"vahshat mein bhi minnat-kash-e-sahraa nahin hote kuchh log bikhar kar bhi tamaashaa nahin hote jaan dete hain jaan dene kaa saudaa nahin karte sharminda-e-ejaaz-e-masihaa nahin hote ham khaak the par jab use dekhaa to bahut roe sunte the ki sahraaon mein dariyaa nahin hote ik taar-e-garebaan kaa rahe dhyaan ki sab log mahfil mein to hote hain shanaasaa nahin hote"
"qurbaton se kab talak apne ko bahlaaeinge ham Doriyaan mazbut hongi chhuTte jaaeinge ham teraa rukh saae ki jaanib meri aankhein su-e-mahr dekhnaa hai kis jagah kis vaqt mil paaeinge ham ghar ke saare phuul hangaamon ki raunaq ho gae khaali gul-daanon se baatein karke so jaaeinge ham adh-khuli takiye pe hogi ilm-o-hikmat ki kitaab vasvason vahmon ke tufaanon mein ghar jaaeinge ham us ne aahista se 'zahra' kah diyaa dil khil uThaa aaj se is naam ki khushbu mein bas jaaeinge ham"
"bhuli-bisri yaadon ko lipTaae hue huun TuuTaa jaal samundar par phailaae hue huun vahshat karne se bhi dil bezaar huaa hai dasht o samundar aanchal mein simTaae hue huun vo khushbu ban kar aae to be-shak aae main bhi dast-e-sabaa se haath milaae hue huun TuTe-phuTe lafzon ke kuchh rang ghule the un ki mehndi aaj talak bhi rachaae hue huun jin baaton ko sunnaa tak baar-e-khaatir thaa aaj unhin baaton se dil bahlaae hue huun"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"