SHAWORDS

jaane ab kho gayaa kidhar paani — Neena Sahar

HomeNeena SaharGhazal
"jaane ab kho gayaa kidhar paani thaa kabhi aankh kaa guhar paani maaro patthar bhi to nahin hiltaa jam chukaa hai ab is qadar paani aane vaale hain kuchh hasin manzar tu abhi aankh mein na bhar paani tab ghazal ki gali pahunchtaa hai aankh se bah ke raat bhar paani na sameTaa gayaa na kaam aayaa main bhi huun jaise ret par paani meri hasti 'sahar' hai bas itni jaise sahraa mein buund bhar paani"
Urdu

جانے اب کھو گیا کدھر پانی تھا کبھی آنکھ کا گہر پانی مارو پتھر بھی تو نہیں ہلتا جم چکا ہے اب اس قدر پانی آنے والے ہیں کچھ حسیں منظر تو ابھی آنکھ میں نہ بھر پانی تب غزل کی گلی پہنچتا ہے آنکھ سے بہہ کے رات بھر پانی نہ سمیٹا گیا نہ کام آیا میں بھی ہوں جیسے ریت پر پانی میری ہستی سحرؔ ہے بس اتنی جیسے صحرا میں بوند بھر پانی

Hindi

जाने अब खो गया किधर पानी था कभी आँख का गुहर पानी मारो पत्थर भी तो नहीं हिलता जम चुका है अब इस क़दर पानी आने वाले हैं कुछ हसीं मंज़र तू अभी आँख में न भर पानी तब ग़ज़ल की गली पहुँचता है आँख से बह के रात भर पानी न समेटा गया न काम आया मैं भी हूँ जैसे रेत पर पानी मेरी हस्ती 'सहर' है बस इतनी जैसे सहरा में बूँद भर पानी

jaane ab kho gayā kidhar paanī
Neena Sahar
Neena Sahar
Neena Sahar
poet16 quotes

More by Neena Sahar

View all →
Quote
"koi moajiza huaa hai miri be-khudi se aage teraa gham nikal gayaa hai miri har khushi se aage miri pyaas kaa taraana yuun samajh na aa sakegaa mujhe aaj sun ke dekho miri khaamoshi se aage main huun saans saans tanhaa main huun zarra zarra ghaayal mujhe paas aa ke dekho miri dilkashi se aage vahin kal bhi phir mileinge jahaan aaj mil rahe hain teri raushni ke pichhe miri tirgi se aage isi Dar se paDh na paai main tiraa payaam jaanaan kahin dil ko chhu na jaae miri bebasi se aage"
Neena SaharNeena Sahar
Quote
"kaise hoti hai shab ki sahar dekhte kaash ham bhi kabhi jaag kar dekhte khvaab kaise utartaa hai ehsaas mein tere shaane pe rakh ke ye sar dekhte ek ummid thi muntazir umr bhar kaash tum bhi kabhi lauT kar dekhte barf ki jhini chaadar tale jhiil thi chhu ke mujh ko kabhi tum agar dekhte ungliyaan un ki letin na sannyaas to meri zulfon se bhi khel kar dekhte ek parvaaz mein gir na jaate agar tere man kaa gagan mere par dekhte band kamron ne kholi nahin saanklein varna sajde mein baiThi 'sahar' dekhte"
Neena SaharNeena Sahar
Quote
"mukhtalif hain miri bahaar ke rang kuchh mire apne kuchh udhaar ke rang aaj yaksar bahaar le aai mere dil ki gali mein pyaar ke rang teri aankhon se milte-julte hain meri aankhon ke aabshaar ke rang dil ki chaukhaT sajaae baiThe hain aaj bhi tere intizaar ke rang raat mil kar gale bahut roe teri yaadon se mere pyaar ke rang vaqt ki dhuup kaa qusur nahin the hi kachche vo e'tibaar ke rang thak gae par mahak na laa paae kaaghzi phuul par bahaar ke rang dhuup rukh par paDi havas ki 'sahar' uD gae ishq ke khumaar ke rang"
Neena SaharNeena Sahar

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud