SHAWORDS

koi bhi zor kharidaar par nahin chaltaa — Raoof Khair

HomeRaoof KhairGhazal
"koi bhi zor kharidaar par nahin chaltaa ki kaarobaar to akhbaar par nahin chaltaa ham aap apnaa garebaan chaak karte hain hamaaraa bas hi to sarkaar par nahin chaltaa kuchh aur chaahiye taskin-e-jism-o-jaan ke liye hamaaraa kaam to didaar par nahin chaltaa main jaantaa huun mujhe kis kaa saath denaa hai main billi ban ke to divaar par nahin chaltaa usuul jitne hain laagu hamin pe hote hain aur ek yaar-e-tarah-daar par nahin chaltaa unhein lihaaz nahin hai jo meri marzi kaa to main bhi marzi-e-aghyaar par nahin chaltaa na jaane kab tumhein auqaat apni dikhlaa de ab itnaa zulm bhi naadaar par nahin chaltaa mire sukhan kaa bahaana hain qaafiya o radif main sher kahtaa huun kuchh taar par nahin chaltaa rauuf 'khair' pahunchtaa vahin hai hir-phir kar ki ikhtiyaar dil-e-zaar par nahin chaltaa"
Urdu

کوئی بھی زور خریدار پر نہیں چلتا کہ کاروبار تو اخبار پر نہیں چلتا ہم آپ اپنا گریبان چاک کرتے ہیں ہمارا بس ہی تو سرکار پر نہیں چلتا کچھ اور چاہیئے تسکین جسم و جاں کے لیے ہمارا کام تو دیدار پر نہیں چلتا میں جانتا ہوں مجھے کس کا ساتھ دینا ہے میں بلی بن کے تو دیوار پر نہیں چلتا اصول جتنے ہیں لاگو ہمیں پہ ہوتے ہیں اور ایک یار طرحدار پر نہیں چلتا انہیں لحاظ نہیں ہے جو میری مرضی کا تو میں بھی مرضی اغیار پر نہیں چلتا نہ جانے کب تمہیں اوقات اپنی دکھلا دے اب اتنا ظلم بھی نادار پر نہیں چلتا مرے سخن کا بہانہ ہیں قافیہ و ردیف میں شعر کہتا ہوں کچھ تار پر نہیں چلتا رؤف خیرؔ پہنچتا وہیں ہے ہر پھر کر کہ اختیار دل زار پر نہیں چلتا

Hindi

कोई भी ज़ोर ख़रीदार पर नहीं चलता कि कारोबार तो अख़बार पर नहीं चलता हम आप अपना गरेबान चाक करते हैं हमारा बस ही तो सरकार पर नहीं चलता कुछ और चाहिए तस्कीन-ए-जिस्म-ओ-जाँ के लिए हमारा काम तो दीदार पर नहीं चलता मैं जानता हूँ मुझे किस का साथ देना है मैं बिल्ली बन के तो दीवार पर नहीं चलता उसूल जितने हैं लागू हमीं पे होते हैं और एक यार-ए-तरह-दार पर नहीं चलता उन्हें लिहाज़ नहीं है जो मेरी मर्ज़ी का तो मैं भी मर्ज़ी-ए-अग़्यार पर नहीं चलता न जाने कब तुम्हें औक़ात अपनी दिखला दे अब इतना ज़ुल्म भी नादार पर नहीं चलता मिरे सुख़न का बहाना हैं क़ाफ़िया ओ रदीफ़ मैं शेर कहता हूँ कुछ तार पर नहीं चलता रऊफ़ 'ख़ैर' पहुँचता वहीं है हिर-फिर कर कि इख़्तियार दिल-ए-ज़ार पर नहीं चलता

koī bhī zor ḳharīdār par nahīñ chaltā
Raoof Khair
Raoof Khair
Raoof Khair
poet9 quotes

More by Raoof Khair

View all →
Quote
"bikti nahin faqir ki jholi hi kyuun na ho chaahe rais-e-shahr ki boli hi kyuun na ho ehsaan-e-rang ghair uThaate nahin kabhi apne lahu se khel vo holi hi kyuun na ho sach to ye hai ki haath na aanaa kamaal hai duniyaa se khel aankh-micholi hi kyuun na ho hai aasmaan vasia zamin tang hi sahi taamir kar kahin koi kholi hi kyuun na hu haq par jo hai vahi sar o shaana buland hai hai varna be-bisaat vo Toli hi kyuun na ho dariyaa ki kyaa bisaat ki mujh ko Dubo sake kashti kahin kahin miri Doli hi kyuun na ho talkhi mein bhi maza hai jo tu khush-mazaaq hai pak jaae to bhali hai nimoli hi kyuun na ho kuchh to hadis 'khair' samajhne ke kar jatan har-chand be-maza miri boli hi kyuun na ho"
Raoof KhairRaoof Khair
Quote
"zabaan pe harf to inkaar mein nahin aataa ye marhala hi kabhi pyaar mein nahin aataa khulegaa un pe jo bainassutur paDhte hain vo harf harf jo akhbaar mein nahin aataa samajhne vaale yaqinan samajh hi lete hain hamaaraa dard jo izhaar mein nahin aataa ye khaandaan hamaaraa bikhar gayaa jab se maza hamein kisi tyauhaar mein nahin aataa hamaare haq mein to vo chaand aur suraj hai bahut dinon se jo didaar mein nahin aataa kamaal ye hai ki ham khvaab dekhte hi nahin ki khvaab dida-e-bedaar mein nahin aataa hamaaraa sher samajhne ki kuchh to koshish kar ye kyaa navishta-e-divaar mein nahin aataa qalam ki kaaT to talvaar se bhi baDh kar hai magar shumaar ye hathiyaar mein nahin aataa vo apnaa zauq baDhaaein agar maza un ko rauuf 'khair' ke ashaar mein nahin aataa"
Raoof KhairRaoof Khair
Quote
"lubhaa rahi to hai duniyaa chamak damak ki mujhe magar hayaat gavaaraa nahin dhanak ki mujhe hamesha apni laDaai main aap laDtaa huun nahin rahi kabhi haajat kisi kumak ki mujhe bahut dinon se zamaan o makaan haail hain ki aas bhi na rahi ab tiri jhalak ki mujhe mire qalam ki jo zad mein ye bahr o bar aate duhaai dene lage naan aur namak ki mujhe miraa gumaan yaqin mein badaltaa rahtaa hai samajhne vaale bhale hi samajh lein shakki mujhe chunaanche gardish-e-ayyaam thak ke baiTh gai main sakht-jaan huun kyaa pisti ye chakki mujhe isi liye to main nimTaa rahaa huun kaam apne main jaantaa huun ki mohlat hai aaj tak ki mujhe adaa kiyaa usi sikke mein be-jhijak main ne hui jahaan kahin mahsus bu hitak ki mujhe kharaab-haal ye be-'khair' o be-adab ho kar bhaTak na jaae kahin fikr hai saDak ki mujhe"
Raoof KhairRaoof Khair
Quote
"giraftaari ke sab harbe shikaari le ke niklaa hai parinda bhi shikaari ki supaari le ke niklaa hai nikalne vaalaa ye kaisi savaari le ke niklaa hai madaari jaise saanpon ki piTaari le ke niklaa hai bahar-qimat vafaadaari hi saari le ke niklaa hai hatheli par agar vo jaan pyaari le ke niklaa hai safari suiT mein TaTa safari le ke niklaa hai vo lekin zehn o dil par bojh bhaari le ke niklaa hai yaqinan hijraton ki jaankaari le ke niklaa hai agar apne hi ghar se be-qaraari le ke niklaa hai khilaune ki taDap mein khud khilaunaa vo na ban jaae miraa bachcha saDak par rezgaari le ke niklaa hai agar duniyaa bhi mil jaae rahegaa haath phailaae ajab kashkol duniyaa kaa bhikaari le ke niklaa hai khataa-kaari miri ummid-vaar-e-daaman-e-rahmat magar mufti to quraan o bukhaari le ke niklaa hai jhalaktaa hai mizaaj-e-shahryaari har bun-e-mu se ba-zaahir 'khair' harf-e-khaaksaari le ke niklaa hai"
Raoof KhairRaoof Khair
Quote
"taa-ba-kai manzil-ba-manzil ham musaafir bhaagte aankh ab Thahri hui hai aur manaazir bhaagte ai harif-e-har-qadam shah-maat se bachne ki soch is bisaat-e-khaak se kyaa ham se shaatir bhaagte ham to aae hain yahaan miTne miTaane ke liye is zamin-e-karbalaa se kis ki khaatir bhaagte bas mein aa jaane kaa jazba bas mein karne ki havas khaak-o-baad-o-aab-o-aatish bhi hain qaasir bhaagte sar kahin paanv kahin aankhein kahin chehra kahin is havas mein kho gai pahchaan aakhir bhaagte 'khair' shab-khun maar kar chhup jaane vaale ham nahin maarka sar karne nikle hain to kyaa phir bhaagte khod lete hain kuaan shahdaab paa lete hain 'khair' is zamin-e-sakht se kyaa ham se shaair bhaagte"
Raoof KhairRaoof Khair

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri