SHAWORDS

kuchh gharaz vajh muddaaa baais — Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

"kuchh gharaz vajh muddaaa baais kyuun khafaa ho gae ho kyaa baais mujh se ruThe ho kyuun bilaa baais kyaa khataa kyaa qusur kyaa baais ab khulaa ye ki jaan jaane kaa thaa sabab dil hi dil hi thaa baais main ne chheDaa thaa kyuun bigaDte na vo khafagi ki hui khataa baais main unhein chaahun vo ye khud chaahein koi aisaa ho yaa khudaa baais nahin milte na miliye bismillaah par bataa dijiye zaraa baais aaj kyuun vo bigaD gae ham se yaa ilaahi na kuchh khulaa baais mar gae dekh ham tiraa andaaz hai fazaa ki tiri adaa baais jab kahaa main ne aaiye mire paas do ghaDi ke liye kahaa baais tum hasin ho to chaahte hain tumhein yahi baais hai aur kyaa baais kar liyaa kaisaa aap ko taskhir 'sehr' huun varna aur kyaa baais"
Urdu

کچھ غرض وجہ مدعا باعث کیوں خفا ہو گئے ہو کیا باعث مجھ سے روٹھے ہو کیوں بلا باعث کیا خطا کیا قصور کیا باعث اب کھلا یہ کہ جان جانے کا تھا سبب دل ہی دل ہی تھا باعث میں نے چھیڑا تھا کیوں بگڑتے نہ وہ خفگی کی ہوئی خطا باعث میں انہیں چاہوں وہ یہ خود چاہیں کوئی ایسا ہو یا خدا باعث نہیں ملتے نہ ملئے بسم اللہ پر بتا دیجئے ذرا باعث آج کیوں وہ بگڑ گئے ہم سے یا الٰہی نہ کچھ کھلا باعث مر گئے دیکھ ہم ترا انداز ہے فضا کی تری ادا باعث جب کہا میں نے آئیے مرے پاس دو گھڑی کے لیے کہا باعث تم حسیں ہو تو چاہتے ہیں تمہیں یہی باعث ہے اور کیا باعث کر لیا کیسا آپ کو تسخیر سحرؔ ہوں ورنہ اور کیا باعث

Hindi

कुछ ग़रज़ वज्ह मुद्दआ बाइस क्यूँ ख़फ़ा हो गए हो क्या बाइस मुझ से रूठे हो क्यूँ बिला बाइस क्या ख़ता क्या क़ुसूर क्या बाइस अब खुला ये कि जान जाने का था सबब दिल ही दिल ही था बाइस मैं ने छेड़ा था क्यूँ बिगड़ते न वो ख़फ़गी की हुई ख़ता बाइस मैं उन्हें चाहूँ वो ये ख़ुद चाहें कोई ऐसा हो या ख़ुदा बाइस नहीं मिलते न मिलिए बिस्मिल्लाह पर बता दीजिए ज़रा बाइस आज क्यूँ वो बिगड़ गए हम से या इलाही न कुछ खुला बाइस मर गए देख हम तिरा अंदाज़ है फ़ज़ा की तिरी अदा बाइस जब कहा मैं ने आइए मिरे पास दो घड़ी के लिए कहा बाइस तुम हसीं हो तो चाहते हैं तुम्हें यही बाइस है और क्या बाइस कर लिया कैसा आप को तस्ख़ीर 'सेहर' हूँ वर्ना और क्या बाइस

kuchh ġharaz vaj.h mudda.ā baa.is
M
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
poet25 quotes

More by Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

View all →
Quote
"ghar se vo ghairat-e-pari niklaa mar gayaa koi koi ji niklaa apnaa armaan nahin kabhi niklaa kab koi matlab-e-dili niklaa isi hasrat mein tan se ji niklaa ji kaa armaan na ek bhi niklaa dushman apnaa na dost hi niklaa charkh bhi darpae-badi niklaa daavaa-e-ishq ham ko thaa ab tak ghair bhi aaj mudda'i niklaa gaaliyaan tak bhi mujh ko dete nahin is mein kyaa lutf-e-dushmani niklaa hijr kaa roz hai ghazab khunkhaar ki jahaan aayaa khuun pi niklaa abhi baiThe raho miri bar mein dil kaa armaan nahin abhi niklaa jis ko kal us ne qatl kar Daalaa vo hamaaraa hi aadmi niklaa lab-e-mai-gun ke ishq mein ab to mohtasib bhi sharaab pi niklaa hijr-e-jaanaan hai yaa ki maut miri vo uThaa bar se tan se ji niklaa haif us rashk-e-zohra yusuf kaa ghair-manhus mushtari niklaa gaaliyaan dete jaao dil le lo ye nayaa tarz-e-dilbari niklaa maut kyaa apni jaan le jaati aankh jo khol di vahi niklaa lab-e-jaan-bakhsh mat hilaa qaatil jo huaa qatl vo hi ji niklaa samjhe bulbul ko ham the aalam-e-ishq ik gulistaan kaa mubtadi niklaa chaar kaa go ghalat huaa daa'vaa ek bosa to vaajibi niklaa ghair ko chaar ham ko bose do khuub qaanun-e-munsifi niklaa ham ye samjhe ki bas vahi aayaa shab-e-hijraan mein jo koi niklaa vaa'da-e-vasl ki jo iifaa mein na unhein 'uzr koi bhi niklaa bole qaail hi kar diyaa ham ko tu baDaa koi mantiqi niklaa 'sehr' ham rind jaante the tujhe tu to pahunchaa huaa vali niklaa"
M
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Quote
"hosh-o-shakeb-o-taab-o-sabr-o-qaraar paancho qurbaan kar chukaa huun main tujh pe yaar paancho ik dard-e-hijr se bas ye paanch aarize hain be-hoshi be-qaraari ghash tap bukhaar paancho mutrib pisar ke gham mein bhaate hain kis ke dil ko gori aiman alabbaa des aur malaar paancho imaan-o-din-o-maal-o-dil aur naqd-e-jaan bhi main kar chukaa huun pyaare tujh par nisaar paancho gar tu qasam bhi khaae jhuTe hain mere pyaare paimaan-o-ahd-o-vaada qaul-o-qaraar paancho karte hain qatl-e-aalam zaalim ye uzv tere mizhgaan-o-chashm-o-abru zulf-o-'ezaar paancho kohsaar-o-dasht-o-dariyaa gulzaar-o-bazm-e-ishrat hain khaar saan nazar mein be-ru-e-yaar paancho is tarah mein ghazal kaa likhnaa hai ghair-mumkin ai 'sehr' koi baandhe go ab hazaar paancho"
M
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Quote
"jo mehrbaan kahin vo rashk-e-maah ho jaave to ye gadaa bhi kabhi baadshaah ho jaave jo apni shoala-fagan barq-e-aah ho jaave to kaakh-e-charkh bhi jal kar tabaah ho jaave do chaar gar miri un ki nigaah ho jaave to sab moaamla phir ru-baraah ho jaave karein safed bhi ghar ko mire agar meamaar to dud-e-aah se fauran siyaah ho jaave shab-e-visaal ki aati hain yaad yuun baatein ki khvaab mein koi jyuun baadshaah ho jaave jo jaaun aaj ki shab un ki bazm mein tanhaa to mujh pe ghair kaa kaash ishtibaah ho jaave yahi duaa hai ki anjaam ho ba-khair miraa khudaa kare ki buton se nibaah ho jaave nigaah-e-lutf jo ghairon pe hai to behtar hai kabhi idhar bhi karam ki nigaah ho jaave tire itaab ki lazzat se ye tamanna hai ki aaj bhi koi mujh se gunaah ho jaave zamaana tum pe hai ghash kyaa ajab jo hashr ke din miraa gavaah tumhaaraa gavaah ho jaave mile bhi huur jo zaahid ko khuld mein jaa kar mazaa ho vaan jo use zoaf-e-baah ho jaave nikaalo 'sehr' vo mazmun taba-e-aali se jahaan mein jis ke sabab vaah-vaah ho jaave"
M
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Quote
"qaatil ke kuche mein hama-tan jaaun ban ke paanv mar kar hi taaki so to zaraa paaun tan ke paaon kyunkar rakhun main sair ko andar chaman ke paanv ik umr se to ho rahe khugar hain ban ke paanv bhaari hain naazuki se jo mehndi mein san ke paanv kahte hain kar diye mire kyuun laakh man ke paanv kyaa saath meraa dasht-navardi mein kar sake do-chaar chaukDi mein gae thak hiran ke paanv haathon ko hai havaa se garebaan-dari hanuz sahraa-talab hain mar ke bhi andar kafan ke paanv aanaa hai der der to jaanaa hai jald jald raftan ke aur hain tire aur aamdan ke paanv sadme se haath ke kahin gaTTaa utar na jaae kyunkar dabaaun us but-e-naazuk-badan ke paanv ai dil tu dekh us ki sar-e-zulf mein na jaa naadaan hai sar pe jo rakhe kaale ke phan ke paanv kuchh aaj ye bhi aataa hai rindo piye hue paDte hain bahke bahke jo shekh-e-zaman ke paanv pahunchaa hai ab to 'sehr' kalaam apnaa duur duur shohrat se lag gae hain hamaare sukhan ke paanv"
M
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Quote
"zinat-e-unvaan hai mazmun aalam-e-tauhid kaa matla-e-divaan na kyuun matla bane khurshid kaa ye savaad-e-naama hai yaa surma-e-taskhir hai hai bayaaz-e-safha yaa hai nuur subh-e-id kaa dair mein hai vo na hai kaabe mein aur hai sab kahin taalib-e-nazzaara ko gar ho saliqa diid kaa ho jo us ke naam par aaghaaz puuraa ho vo kaam hai bar-aarinda vahi har shakhs ki ummid kaa jo milaa us se use kahtaa hai aalam mar gayaa naam murda rakh diyaa hai zinda-e-jaaved kaa lan-taraani hi rahi us shokh ko ushshaaq se hausla paidaa na kis kis ko huaa go diid kaa taaza mazmun 'sehr' apni tab-e-mauzun se nikaal ho na tu tarz-e-sukhan mein aashnaa taqlid kaa"
M
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud