"dilon par ye naqsh us ne apnaa biThaayaa ki jo choT par said aayaa biThaayaa misaal-e-kabutar mire dil ko us ne bhagaayaa bulaayaa uThaayaa biThaayaa tire aatishin husn ne shama ko shab khapaayaa jalaayaa galaayaa biThaayaa uThaayaa usi gham ne duniyaa se pyaare kabhi tum ne ham ko na tanhaa biThaayaa samajh teri ulTi hai ai jaan-e-aalam ki apnaa uThaayaa paraayaa biThaayaa na bole lahad mein bhi ham Dar se tere farishton ne kitnaa jagaayaa biThaayaa gayaa koThe par vo ye ki mah ne azmat ki ujlaa bichhaunaa bichhaayaa biThaayaa ye vo qais hai khaas shaagird meraa pakaD kaan jis ko uThaayaa biThaayaa 'vaqaar' is ghazal ki zamin had buri thi bahut zor de kar biThaayaa biThaayaa"
murgh-e-jaan ko zulf-e-pechaan jaal hai — Kishan Kumaar Waqaar
"murgh-e-jaan ko zulf-e-pechaan jaal hai jaal kyaa ai jaan-e-jaan janjaal hai aao haazir sar pae paamaal hai jaan lab par bahr-e-istiqbaal hai khaak ho sarsabz tukhm-e-aashiqi hai zamin aas aasmaan ghirbaal hai husn yusuf kaa bikaa baazaar mein ishq kaa raail ke iqbaal hai jo mire lab par huaa hasrat kaa khuun vo bukhaar-e-shauq kaa tabkhaal hai boltaa hai aaj-kal tuuti miraa ghair ki galti vahaan kab daal hai fauj-e-khat aati hai ai sultaan-e-husn mulk-e-rukh se teraa istisaal hai hai nikalti baat un ki baat se chaal vo chalte hain jis mein jaal hai kyaa likhun vasf achchhi surat kaa 'vaqaar' jins-e-naaqis ke liye dallaal hai"
مرغ جاں کو زلف پیچاں جال ہے جال کیا اے جان جاں جنجال ہے آؤ حاضر سر پئے پامال ہے جان لب پر بہر استقبال ہے خاک ہو سرسبز تخم عاشقی ہے زمیں آس آسمان غربال ہے حسن یوسف کا بکا بازار میں عشق کا راعیل کے اقبال ہے جو مرے لب پر ہوا حسرت کا خون وہ بخار شوق کا تبخال ہے بولتا ہے آج کل طوطی مرا غیر کی گلتی وہاں کب دال ہے فوج خط آتی ہے اے سلطان حسن ملک رخ سے تیرا استیصال ہے ہے نکلتی بات ان کی بات سے چال وہ چلتے ہیں جس میں جال ہے کیا لکھوں وصف اچھی صورت کا وقارؔ جنس ناقص کے لئے دلال ہے
मुर्ग़-ए-जाँ को ज़ुल्फ़-ए-पेचाँ जाल है जाल क्या ऐ जान-ए-जाँ जंजाल है आओ हाज़िर सर पए पामाल है जान लब पर बहर-ए-इस्तिक़बाल है ख़ाक हो सरसब्ज़ तुख़्म-ए-आशिक़ी है ज़मीं आस आसमान ग़िर्बाल है हुस्न यूसुफ़ का बिका बाज़ार में इश्क़ का राईल के इक़बाल है जो मिरे लब पर हुआ हसरत का ख़ून वो बुख़ार-ए-शौक़ का तबख़ाल है बोलता है आज-कल तूती मिरा ग़ैर की गलती वहाँ कब दाल है फ़ौज-ए-ख़त आती है ऐ सुल्तान-ए-हुस्न मुल्क-ए-रुख़ से तेरा इस्तीसाल है है निकलती बात उन की बात से चाल वो चलते हैं जिस में जाल है क्या लिखूँ वस्फ़ अच्छी सूरत का 'वक़ार' जिंस-ए-नाक़िस के लिए दल्लाल है
More by Kishan Kumaar Waqaar
View all →"aashiqi mein hai jaan kaa khaTkaa aur bhi kuchh buraa bhalaa khaTkaa yaar sayyaad baaghbaan kaa huaa ye nayaa aur ik bandhaa khaTkaa kaan aahaT ki raah se na haTe dil mein thaa kis ke aane kaa khaTkaa vahi kaavish mizha ne ki aakhir jis kaa avval se dil mein thaa khaTkaa bulbul-e-paak-bin hai aashiq-e-gul baaghbaan tu na khaTkhaTaa khaTkaa be tire yaar sair-e-gulshan mein phuul aankhon mein khaar saa khaTkaa tujh ko dekhaa uThaa uThaa kar sar saans kaa bhi agar huaa khaTkaa ishq ke hain 'vaqaar' chaar unsur khauf andesha-o-daghaa khaTkaa"
"vo mizha maarti kaTaari hai chashm-e-baddur zakhm kaari hai aankhein chamkaa gayaa vo barq-aasaa dil miraa vaqf-e-be-qaraari hai qais baad-e-sabaa hai bu lailaa shaakh-e-gul naafe ki savaari hai zulf tak go na pahunchaa shaana-vaar haath ko par umid-vaari hai dil pe chaDhti nahin koi tadbir meri taqdir vo utaari hai doston se hai un ki ayyaari aur aadaa se dost-daari hai dam samajhtaa hai ai 'vaqaar' vo shokh meri do din se dam-shumaari hai"
"ishq hai us zulf kaa sartaaj aaj hai rasul-e-husn ki mearaaj aaj nok-e-mizhgaan par nahin hai lakht-e-dil daar par khinchaa gayaa hallaaj aaj tark chashm-e-yaar ke tevar hain aur khirman-e-taaqat kaa hai taaraaj aaj tegh-e-abru kal paDi dil par mire tiir mizhgaan kaa huaa aamaaj aaj chuse hain us ke misi aaluda-lab main ne nilam kaa kiyaa pokhraaj aaj vasl ki marzi thi kal us shokh ki phir gayaa vo vaqt-e-istimzaaj aaj likkhaa hai jo vasf abru kaa 'vaqaar' sher-sheari se na le kyuun baaj aaj"
"shoaraa mein na ho kyuun sher hamaaraa unchaa ki qad-e-yaar kaa mazmun hai baandhaa unchaa naaz ki nashv-o-numaa hai ki hai joban kaa ubhaar varna kyaa hai tire siine pe ye unchaa unchaa dil musaafir hai safar shab kaa phir is par turra kucha-e-zulf mein hai har jagah nichaa unchaa ai adab khaar ki taazim hai nichaa rahnaa haan kahin ho na sar-e-aabla-e-paa unchaa zulf hai past jo gesu se to ye kaakul se chau-gune martaba mein is se hai turra unchaa chashm-e-bad-dur buland ashk hai sar se ik haath ghair mumkin hai zamin se bahe dariyaa unchaa kyuun 'vaqaar' apnaa galaa pir-o-javaan phaaDte hain pir-e-kohna hai falak had se hai suntaa unchaa"
"aariz se tire bahaar maqsud hai khat se ba-naqsha-zaar maqsud uD uD ke ghubaar-e-aashiq aayaa kucha mein jo thaa mazaar maqsud kaabe se ghazaal kudtaa aae ho un kaa agar shikaar maqsud gesu se gharaz hai khaas kar lail rukhsaar se hai nahaar maqsud nargis hai chaman ki dida-e-shauq hai aap kaa intizaar maqsud dil ki na kali shagufta hogi gul se na rakhe hazaar maqsud daaghon kaa 'vaqaar' siina mushtaaq hai koh kaa laala-zaar maqsud"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"