SHAWORDS

nain nashe ki chaDhti numu par — Nasir Shahzad

HomeNasir ShahzadGhazal
"nain nashe ki chaDhti numu par baaqi badan sab jaam-o-subu par chiDiyaan mor mamule vaadi ham tum ek kinaar-e-ju par likkhi gai taarikh hamaari kuufe tere kaakh-o-ku par ham ne apni kavitaa gundhi miTTi ki sondhi khushbu par karbal harb haraaval hamla karbal aakhiri zarb adu par"
Urdu

نین نشے کی چڑھتی نمو پر باقی بدن سب جام و سبو پر چڑیاں مور ممولے وادی ہم تم ایک کنار جو پر لکھی گئی تاریخ ہماری کوفے تیرے کاخ و کو پر ہم نے اپنی کویتا گوندھی مٹی کی سوندھی خوشبو پر کربل حرب، ہراول، حملہ کربل آخری ضرب عدو پر

Hindi

नैन नशे की चढ़ती नुमू पर बाक़ी बदन सब जाम-ओ-सुबू पर चिड़ियाँ मोर ममूले वादी हम तुम एक किनार-ए-जू पर लिक्खी गई तारीख़ हमारी कूफ़े तेरे काख़-ओ-कू पर हम ने अपनी कविता गूंधी मिट्टी की सोंधी ख़ुशबू पर कर्बल हर्ब, हरावल हमला कर्बल आख़िरी ज़र्ब अदू पर

nain nashe kī chaḌhtī numū par
Nasir Shahzad
Nasir Shahzad
Nasir Shahzad
poet69 quotes

More by Nasir Shahzad

View all →
Quote
"dil se husul-e-zar ke sabhi zoam haT gae fikr-e-maaash baDh gai khaanon mein baT gae phir yuun huaa ki mujh se vo yunhi bichhaD gayaa phir yuun huaa ki ziist ke din yunhi kaT gae khenaa sakhi sakhi na sajan ki taraf mujhe lenaa sakhi sakhi mire paanv rapaT gae aaina us ko dekh ke mabhut ho gayaa gul-daan mein gulaab lajaa kar simaT gae akhroT khaaein taapein angeThi pe aag aa raste tamaam gaanv ke kohre se aT gae aane diyaa na mere buzurgon ne haq pe harf maidaan karbalaaon ke laashon se paT gae Daali nadi mein naav na bargad ke niche peing tu kyaa gayaa palaT ke vo sab din palaT gae khaadein lagin to chhoD gaiin khet titliyaan faslein baDhin to Daar parindon ke ghaT gae us se mili nazar to larazne lagaa badan diide sakhi ri dekh ke piritam ko phaT gae tu shaant ho ki teri muraadein huiin saphal baadal garaj-baraj ke jo aae the chhaT gae dekhaa to us ke tan pe gire kevDe ke phuul paanv se aabshaar ke paani lipaT gae"
Nasir ShahzadNasir Shahzad
Quote
"ik aks dil ke taT se be-ikhtiyaar phuTe jab chaand us nagar ki jhilon ke paar phuTe sadqa utaarne ko tere madhur nayan kaa ubhre kai sitaare ghunche hazaar phuTe vo aur main nadi ke naghmon pe bahti naav naav mein us ke mukh se ujlaa nikhaar phuTe kaanon mein ab bhi khankein gajre tire gajar-dam is ghar se jab dhuein kaa niilaa ghubaar phuTe mujh ko jhulaa rahe hain giton ke jhulne mein naghme jo paayalon ke sapnon ke dvaar phuTe us saanvle badan par mahkein khunuk savere un mast ankhDiyon se rangon ki phuvaar phuTe mat ro phir aaungaa main parbat pe tujh se milne jab barf-zaar pighle jab aabshaar phuTe"
Nasir ShahzadNasir Shahzad
Quote
"lahu mein saadh sat ko bhar rahaa huun koi hujra charaaghaan kar rahaa huun jhaTak kar dil se saare lobh laalach yahaan ban-baas mein behtar rahaa huun azaab-e-aakhirat ki baat aage itaab-e-zindagi se Dar rahaa huun miri pahchaan meraa gyaan hijrat sadaa ausaan mein be-ghar rahaa huun koi dekhe na aa kar daagh-e-hasrat badan par oDh kar chaadar rahaa huun mulavvis thaa main har be-rah-ravi mein magar ilzaam tujh par dhar rahaa huun taDapte tan ko miTTi par giraa kar sar-e-sahraa burida-sar rahaa huun darakte rang baadal khvaab khushbu samay ki saj se bahra-var rahaa huun Daraa huun tere khauf-e-be-bahaa se musalle par sar-e-mahshar rahaa huun tiri be-e'tinaai se gilaa kyaa main apne aap par dubhar rahaa huun"
Nasir ShahzadNasir Shahzad
Quote
"hasrat-e-ahd-e-vafaa baaqi hai teri aankhon mein hayaa baaqi hai baat mein kohna rivaayaat kaa lutf haath par rang-e-hinaa baaqi hai abhi haasil nahin zaalim ko davaam abhi duniyaa mein khudaa baaqi hai bujh gayaa gir ke khunuk aab mein chaand sath-e-dariyaa pe sadaa baaqi hai gopiyaan hi kisi gokul mein nahin bansiyon mein to navaa baaqi hai paanv ke niche sarakti hui khaak sar mein masnad ki havaa baaqi hai biich mein raat, bachan, biite milan oT mein jaltaa diyaa baaqi hai dekh ye chaand nadi phuul na jaa rut mein ras shab mein nasha baaqi hai"
Nasir ShahzadNasir Shahzad
Quote
"rabt bhi toDaa bani nit ki talab kaa base bhi patr bhi is ne likhe bheje mujhe sandes bhi chaukhaTaa dil kaa yahaan hai hu bahu tujh saa koi honT bhi aankhein bhi chhab Dhab bhi tujhi saa face bhi ziist ke path par nahin honaa thaa tujh mujh mein milaap har janam mein priit ne dekhe badal kar bhes bhi puut ki saaDi gulaabi aaftaabi jism par laT gundhi choTi ribbon shaanon pe sanvre kes bhi tujh se bichhDe gaanv chhoTaa shahr mein aakar base taj diye sab sangi-saathi tyaag Daalaa des bhi bas asaasa hai yahi ghar kaa yahi ghar ki mataaa sofa ik do bed kitaabein aur ik show kes bhi shaairi mein baazuon ke saath dil bhi shal huaa aakhirash majbur ho kar haar di ye race bhi niche in jharnon pe vaadi mein kise jaa kar milun sang ik sautan ke beri pi gae pardes bhi jaantaa thaa kaun jiite hain yahi kuchh dekhne dil pe sah leinge mohabbat mein birah ki Thes bhi"
Nasir ShahzadNasir Shahzad

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb