"hogaa ham-chehra ru-e-dilbar kaa munh koi dekhe maah-e-anvar kaa chashm-e-tar kaa jo imtihaan karun naam koi na le samundar kaa sang-e-gham se na ho sakaa sartaab kohkan ban gayaa thaa patthar kaa khud-numaai se kab mili fursat aaina kab huzur se sarkaa gardish-e-chashm idhar bhi ai saaqi na karungaa savaal saaghar kaa kishvar-e-faqr be-takalluf hai ek hai hukm khaak-e-vaafar kaa mujh ko salmaan ki qasam ai 'rashk' banda-e-kam-tarin huun bu-zar kaa"
raabta hai lab-e-jaanaan se hamein — Meer Ali Ausat Rashk
"raabta hai lab-e-jaanaan se hamein kaam hai chashma-e-haivaan se hamein munh lagaayaa hai to aab-e-haivaan dijiye chaah-e-zanakhdaan se hamein dhuup se bhi hai ziyaada parhez saaya-e-daaman-e-ehsaan se hamein chashma-e-chashm kahaan abr kahaan bahs kyaa baarish-o-baaraan se hamein ulfat-e-sar hai na afsar kaa khayaal kyaa ilaaqa sar-o-saamaan se hamein na nikaalegaa kabhi bakht-e-siyaah zulmat-e-shaam-e-gharibaan se hamein chhuT gai sohbat-e-jaanaan ai 'rashk' ranj hai rabt-e-tan-o-jaan se hamein"
رابطہ ہے لب جاناں سے ہمیں کام ہے چشمۂ حیواں سے ہمیں منہ لگایا ہے تو آب حیواں دیجئے چاہ زنخداں سے ہمیں دھوپ سے بھی ہے زیادہ پرہیز سایۂ دامن احساں سے ہمیں چشمۂ چشم کہاں ابر کہاں بحث کیا بارش و باراں سے ہمیں الفت سر ہے نہ افسر کا خیال کیا علاقہ سر و ساماں سے ہمیں نہ نکالے گا کبھی بخت سیاہ ظلمت شام غریباں سے ہمیں چھٹ گئی صحبت جاناں اے رشکؔ رنج ہے ربط تن و جاں سے ہمیں
राब्ता है लब-ए-जानाँ से हमें काम है चश्मा-ए-हैवाँ से हमें मुँह लगाया है तो आब-ए-हैवाँ दीजिए चाह-ए-ज़नख़दाँ से हमें धूप से भी है ज़ियादा परहेज़ साया-ए-दामन-ए-एहसाँ से हमें चश्मा-ए-चशम कहाँ अब्र कहाँ बहस क्या बारिश-ओ-बाराँ से हमें उल्फ़त-ए-सर है न अफ़सर का ख़याल क्या इलाक़ा सर-ओ-सामाँ से हमें न निकालेगा कभी बख़्त-ए-सियाह ज़ुल्मत-ए-शाम-ए-ग़रीबाँ से हमें छुट गई सोहबत-ए-जानाँ ऐ 'रश्क' रंज है रब्त-ए-तन-ओ-जाँ से हमें
More by Meer Ali Ausat Rashk
View all →"ghair dushman hue yaaraan-e-vatan bhuul gae aap jab se mujhe ai mushfiq-e-man bhuul gae meri fariyaad se baat ahl-e-sukhan bhuul gae zamzame naghma-saraayaan-e-chaman bhuul gae is qadar gardish-e-taqdir se ghabraa gae ham sadma-e-kajravi-e-charkh-e-kuhan bhuul gae kyaa kahein ranj-e-gharib-ul-vatani ki lazzat shaam-e-gham dekhte hi subh-e-vatan bhuul gae is qadar duur hue aalam-e-arvaah se ham naam kyaa surat-e-yaaraan-e-vatan bhuul gae shab-e-furqat jo khayaal aaya tiri aankhon kaa saare aafaat ba-yak-chashm-zadan bhuul gae khaak mein saunpte hi baat na puchhi afsos ek hi roz mein yaaraan-e-vatan bhuul gae rukh-o-qadd-o-badan-o-ghuncha-lab aisaa bhaayaa ki ham ai 'rashk' gul-o-sarv-o-saman bhuul gae"
"huron mein hai charchaa tiri naazuk-badani kaa shohraa hai chaman mein tiri gul-pairahani kaa rutba kam-o-baalaa nahin muhtaaj-o-ghani kaa aabaad rahe mulk gharib-ul-vatani kaa kyunkar na karun sajda-e-shukraana-e-khaaliq masjud-e-khalaaiq huun na muhtaaj ghani kaa aur is se sivaa kyaa kahun ai shaam-e-gharibaan mafhum banaayaa hai gharib-ul-vatani kaa ai 'rashk' vo misraa’on se hai qand-e-mukarrar jis sher mein mazmun hai shirin-dahni kaa"
"in buton se jo rah-o-rasm hai jaari rakhnaa ai khudaa-vand-e-jahaan baat hamaari rakhnaa paalki aur janaaze mein nahin aisaa farq jo nibhe gor tak ai dil vo savaari rakhnaa ai gham-o-dard-o-alam aish-e-jahaan faani hai kaam aaegaa mulaaqaat tumhaari rakhnaa gulshan-e-husn-e-butaan phule phale yaa-allaah is chaman mein asar-e-baad-e-bahaari rakhnaa chashm-e-bulbul kaa kamar-band rag-e-gul si kamar gul-badan ki tumhein zebaa hai kaTaari rakhnaa aashnaa dost nahin bahr-e-fanaa ai munim chashma-e-faiz hai daulat ise jaari rakhnaa dil ki taaqat ghaTe yaa nuur ghaTe aankhon se chaahiye khaatir-e-pur-nur tumhaari rakhnaa laakh ahbaab sataaein lab-e-shikva na khulein madad ai hausla tu baat hamaari rakhnaa hamin barson rahe hain tere liye khaana-ba-dosh kuchh jagah dil mein jo rakhnaa to hamaari rakhnaa ham se baatein rahein auron se rahe khaamoshi itni ai ghuncha-dahan baat hamaari rakhnaa vo muvahhid huun ki din raat hai raaziq se duaa ek sarkaar se rozi miri jaari rakhnaa sar-e-haasid ke liye tegh-e-zabaan kaafi hai mujh mein aadat mire ustaad ki jaari rakhnaa 'rashk' jab tak rahe mahmud rahe duniyaa mein aabru bande ki ai hazrat-e-baari rakhnaa"
"dil-o-dida par kyaa ijaara hamaaraa na sahraa hamaaraa na dariyaa hamaaraa falak bhi jo chaahe to achchhe na honge hamaaraa adu hai masihaa hamaaraa garebaan vahshat ne phaaDaa to kyaa gham khudaa rakhne vaalaa hai parda hamaaraa mohabbat nibhe but ki ho khaana-e-dil hamaaraa tumhaaraa tumhaaraa hamaaraa ham ai 'rashk' miTte rahe aabru par rahaa naqsh-bar-aab naqsha hamaaraa"
"aatish-e-ishq mein kyaa kyaa nahin jalte dekhaa dil to kyaa chiiz hai lohe ko pighalte dekhaa qadr-e-duniyaa-e-do-roza hai fanaa hone se barg-rezi ko isi baagh mein phalte dekhaa roz-e-mahshar ki daraazi ki qasam detaa huun kah to de koi ki din hijr kaa Dhalte dekhaa ku-e-qaatil mein ye pakvaan hai ye khaanaa hai bhunte dekhe jigar haathon ko talte dekhaa hijr-e-jaanaan mein kahin jiine se marnaa behtar zindagaani ke maze ko yahin khalte dekhaa parvarish teri hai maahi-o-samundar se inaan koi paani mein koi aag mein palte dekhaa chaukDi bhuul gae mere havaas-e-khamsa us ki bagghi ko saDak par jo nikalte dekhaa misl-e-auraaq-e-shajar ranj-e-khizaan mein ai 'rashk' jis ko dekhaa kaf-e-afsos hi malte dekhaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"