SHAWORDS

roktaa hai gham-e-izhaar se pindaar mujhe — Mustafa Zaidi

HomeMustafa ZaidiGhazal
"roktaa hai gham-e-izhaar se pindaar mujhe mere ashkon se chhupaa le mire rukhsaar mujhe dekh ai dasht-e-junun bhed na khulne paae DhunDne aae hain ghar ke dar-o-divaar mujhe si diye honT usi shakhs ki majburi ne jis ki qurbat ne kiyaa mahram-e-asraar mujhe meri aankhon ki taraf dekh rahe hain anjum jaise pahchaan gai ruh-e-shab-taar mujhe jins-e-viraani-e-sahraa meri dukaan mein hai kyaa kharidegaa tire shahr kaa baazaar mujhe jaras-e-gul ne kai baar pukaaraa lekin le gai raah se zanjir ki jhankaar mujhe naavak-e-zulm uThaa dashna-e-andoh sanbhaal lutf ke khanjar-e-be-naam se mat maar mujhe saari duniyaa mein ghani raat kaa sannaaTaa thaa sehn-e-zindaan mein mile subh ke aasaar mujhe"
Urdu

روکتا ہے غم اظہار سے پندار مجھے میرے اشکوں سے چھپا لے مرے رخسار مجھے دیکھ اے دشت جنوں بھید نہ کھلنے پائے ڈھونڈنے آئے ہیں گھر کے در و دیوار مجھے سی دیے ہونٹ اسی شخص کی مجبوری نے جس کی قربت نے کیا محرم اسرار مجھے میری آنکھوں کی طرف دیکھ رہے ہیں انجم جیسے پہچان گئی روح شب تار مجھے جنس ویرانی صحرا میری دوکان میں ہے کیا خریدے گا ترے شہر کا بازار مجھے جرس گل نے کئی بار پکارا لیکن لے گئی راہ سے زنجیر کی جھنکار مجھے ناوک ظلم اٹھا دشنۂ اندوہ سنبھال لطف کے خنجر بے نام سے مت مار مجھے ساری دنیا میں گھنی رات کا سناٹا تھا صحن زنداں میں ملے صبح کے آثار مجھے

Hindi

रोकता है ग़म-ए-इज़हार से पिंदार मुझे मेरे अश्कों से छुपा ले मिरे रुख़्सार मुझे देख ऐ दश्त-ए-जुनूँ भेद न खुलने पाए ढूँडने आए हैं घर के दर-ओ-दीवार मुझे सी दिए होंट उसी शख़्स की मजबूरी ने जिस की क़ुर्बत ने किया महरम-ए-असरार मुझे मेरी आँखों की तरफ़ देख रहे हैं अंजुम जैसे पहचान गई रूह-ए-शब-तार मुझे जिंस-ए-वीरानी-ए-सहरा मेरी दूकान में है क्या ख़रीदेगा तिरे शहर का बाज़ार मुझे जरस-ए-गुल ने कई बार पुकारा लेकिन ले गई राह से ज़ंजीर की झंकार मुझे नावक-ए-ज़ुल्म उठा दशना-ए-अंदोह सँभाल लुत्फ़ के ख़ंजर-ए-बे-नाम से मत मार मुझे सारी दुनिया में घनी रात का सन्नाटा था सेहन-ए-ज़िंदाँ में मिले सुब्ह के आसार मुझे

roktā hai ġham-e-iz.hār se pindār mujhe
Mustafa Zaidi
Mustafa Zaidi
Mustafa Zaidi
poet62 quotes

More by Mustafa Zaidi

View all →
Quote
"sahar jitegi yaa shaam-e-gharibaan dekhte rahnaa ye sar jhukte hain yaa divaar-e-zindaan dekhte rahnaa har ik ahl-e-lahu ne baazi-e-imaan lagaa di hai jo ab ki baar hogaa vo charaaghaan dekhte rahnaa idhar se muddai guzreinge iqaan-e-shariat ke nazar aa jaae shaayad koi insaan dekhte rahnaa use tum log kyaa samjhoge jaisaa ham samajhte hain magar phir bhi kareinge us se paimaan dekhte rahnaa samajh mein aa gayaa teri nigaahon ke ulajhne par bhari mahfil mein sab kaa ham ko hairaan dekhte rahnaa hazaaron mehrbaan is raaste par saath aaeinge miyaan ye dil hai ye jeb o garebaan dekhte rahnaa dabaa rakkho ye lahrein ek din aahista aahista yahi ban jaaeingi tamhid-e-tufaan dekhte rahnaa"
Mustafa ZaidiMustafa Zaidi
Quote
"vo ahd ahd hi kyaa hai jise nibhaao bhi hamaare vaada-e-ulfat ko bhuul jaao bhi bhalaa kahaan ke ham aise gumaan vaale hain hazaar baar ham aaein hamein bulaao bhi bigaD chalaa hai bahut rasm-e-khud-kushi kaa chalan Daraane vaalo kisi roz kar dikhaao bhi nahin ki arz-e-tamannaa pe maan hi jaao hamein is ahd-e-tamannaa mein aazmaao bhi fughaan ki qissa-e-dil sun ke log kahte hain ye kaun si nai uftaad hai haTaao bhi tumhaari niind mein Duubi hui nazar ki qasam hamein ye zid hai ki jaago bhi aur jagaao bhi"
Mustafa ZaidiMustafa Zaidi
Quote
"qadam qadam pe tamannaa-e-iltifaat to dekh zavaal-e-ishq mein saudaagaron kaa haat to dekh bas ek ham the jo thoDaa saa sar uThaa ke chale isi ravish pe raqibon ke vaaqiaat to dekh gham-e-hayaat mein haazir huun lekin ek zaraa nigaar-e-shahr se mere taalluqaat to dekh khud apni aanch mein jaltaa hai chaandni kaa badan kisi ke narm khunuk gesuon ki raat to dekh ataa kyaa dil-e-muztar to si diye mere honT khudaa-e-kaun-o-makaan ke tavahhumaat to dekh gunaah mein bhi baDe maarifat ke mauqe hain kabhi kabhi use be-khadsha-e-najaat to dekh"
Mustafa ZaidiMustafa Zaidi
Quote
"is qadar ab gham-e-dauraan ki faraavaani hai tu bhi minjumla-e-asbaab-e-pareshaani hai mujh ko is shahr se kuchh duur Thahar jaane do mere ham-raah miri be-sar-o-saamaani hai aankh jhuk jaati hai jab band-e-qabaa khulte hain tujh mein uThte hue khurshid ki uryaani hai ik tiraa lamha-e-iqraar nahin mar sakta aur har lamha zamaane ki tarah faani hai kucha-e-dost se aage hai bahut dasht-e-junun ishq vaalon ne abhi khaak kahaan chhaani hai is tarah hosh ganvaanaa bhi koi baat nahin aur yuun hosh se rahne mein bhi naadaani hai"
Mustafa ZaidiMustafa Zaidi

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud