"sahar jitegi yaa shaam-e-gharibaan dekhte rahnaa ye sar jhukte hain yaa divaar-e-zindaan dekhte rahnaa har ik ahl-e-lahu ne baazi-e-imaan lagaa di hai jo ab ki baar hogaa vo charaaghaan dekhte rahnaa idhar se muddai guzreinge iqaan-e-shariat ke nazar aa jaae shaayad koi insaan dekhte rahnaa use tum log kyaa samjhoge jaisaa ham samajhte hain magar phir bhi kareinge us se paimaan dekhte rahnaa samajh mein aa gayaa teri nigaahon ke ulajhne par bhari mahfil mein sab kaa ham ko hairaan dekhte rahnaa hazaaron mehrbaan is raaste par saath aaeinge miyaan ye dil hai ye jeb o garebaan dekhte rahnaa dabaa rakkho ye lahrein ek din aahista aahista yahi ban jaaeingi tamhid-e-tufaan dekhte rahnaa"
qadam qadam pe tamannaa-e-iltifaat to dekh — Mustafa Zaidi
"qadam qadam pe tamannaa-e-iltifaat to dekh zavaal-e-ishq mein saudaagaron kaa haat to dekh bas ek ham the jo thoDaa saa sar uThaa ke chale isi ravish pe raqibon ke vaaqiaat to dekh gham-e-hayaat mein haazir huun lekin ek zaraa nigaar-e-shahr se mere taalluqaat to dekh khud apni aanch mein jaltaa hai chaandni kaa badan kisi ke narm khunuk gesuon ki raat to dekh ataa kyaa dil-e-muztar to si diye mere honT khudaa-e-kaun-o-makaan ke tavahhumaat to dekh gunaah mein bhi baDe maarifat ke mauqe hain kabhi kabhi use be-khadsha-e-najaat to dekh"
قدم قدم پہ تمنائے التفات تو دیکھ زوال عشق میں سوداگروں کا ہات تو دیکھ بس ایک ہم تھے جو تھوڑا سا سر اٹھا کے چلے اسی روش پہ رقیبوں کے واقعات تو دیکھ غم حیات میں حاضر ہوں لیکن ایک ذرا نگار شہر سے میرے تعلقات تو دیکھ خود اپنی آنچ میں جلتا ہے چاندنی کا بدن کسی کے نرم خنک گیسوؤں کی رات تو دیکھ عطا کیا دل مضطر تو سی دیئے میرے ہونٹ خدائے کون و مکاں کے توہمات تو دیکھ گناہ میں بھی بڑے معرفت کے موقعے ہیں کبھی کبھی اسے بے خدشۂ نجات تو دیکھ
क़दम क़दम पे तमन्ना-ए-इल्तिफ़ात तो देख ज़वाल-ए-इश्क़ में सौदागरों का हात तो देख बस एक हम थे जो थोड़ा सा सर उठा के चले इसी रविश पे रक़ीबों के वाक़िआत तो देख ग़म-ए-हयात में हाज़िर हूँ लेकिन एक ज़रा निगार-ए-शहर से मेरे तअ'ल्लुक़ात तो देख ख़ुद अपनी आँच में जलता है चाँदनी का बदन किसी के नर्म ख़ुनुक गेसुओं की रात तो देख अता क्या दिल-ए-मुज़्तर तो सी दिए मेरे होंट ख़ुदा-ए-कौन-ओ-मकाँ के तवहहुमात तो देख गुनाह में भी बड़े मा'रिफ़त के मौक़े हैं कभी कभी उसे बे-ख़दशा-ए-नजात तो देख

More by Mustafa Zaidi
View all →"roktaa hai gham-e-izhaar se pindaar mujhe mere ashkon se chhupaa le mire rukhsaar mujhe dekh ai dasht-e-junun bhed na khulne paae DhunDne aae hain ghar ke dar-o-divaar mujhe si diye honT usi shakhs ki majburi ne jis ki qurbat ne kiyaa mahram-e-asraar mujhe meri aankhon ki taraf dekh rahe hain anjum jaise pahchaan gai ruh-e-shab-taar mujhe jins-e-viraani-e-sahraa meri dukaan mein hai kyaa kharidegaa tire shahr kaa baazaar mujhe jaras-e-gul ne kai baar pukaaraa lekin le gai raah se zanjir ki jhankaar mujhe naavak-e-zulm uThaa dashna-e-andoh sanbhaal lutf ke khanjar-e-be-naam se mat maar mujhe saari duniyaa mein ghani raat kaa sannaaTaa thaa sehn-e-zindaan mein mile subh ke aasaar mujhe"
"hui ijaad nai tarz-e-khushaamad ki nahin kal kaa aaiin hai ab tak sar-e-masnad ki nahin aa gai ai mire saae se bhi bachne vaali rafta rafta tire iqraar ki sarhad ki nahin nahr-e-khun ho chuki, farhaad ki mazduri ko ab ke teshe se mili qimat-e-saaad ki nahin naasehaa is liye main gosh-bar-aavaaz na thaa tiri aavaaz se chhoTaa hai tiraa qad ki nahin"
"jab havaa shab ko badalti hui pahlu aai muddaton apne badan se tiri khushbu aai mere naghmaat ki taqdir na pahunche tujh tak meri fariyaad ki qismat ki tujhe chhu aai apni aankhon se lagaati hain zamaane ke qadam shahr ki raah-guzaaron mein miri khu aai haan namaazon kaa asar dekh liyaa pichhli raat main idhar ghar se gayaa thaa ki udhar tu aai muzhda ai dil kisi pahlu to qaraar aa hi gayaa manzil-e-daar kaTi saa'at-e-gesu aai"
"vo ahd ahd hi kyaa hai jise nibhaao bhi hamaare vaada-e-ulfat ko bhuul jaao bhi bhalaa kahaan ke ham aise gumaan vaale hain hazaar baar ham aaein hamein bulaao bhi bigaD chalaa hai bahut rasm-e-khud-kushi kaa chalan Daraane vaalo kisi roz kar dikhaao bhi nahin ki arz-e-tamannaa pe maan hi jaao hamein is ahd-e-tamannaa mein aazmaao bhi fughaan ki qissa-e-dil sun ke log kahte hain ye kaun si nai uftaad hai haTaao bhi tumhaari niind mein Duubi hui nazar ki qasam hamein ye zid hai ki jaago bhi aur jagaao bhi"
"is qadar ab gham-e-dauraan ki faraavaani hai tu bhi minjumla-e-asbaab-e-pareshaani hai mujh ko is shahr se kuchh duur Thahar jaane do mere ham-raah miri be-sar-o-saamaani hai aankh jhuk jaati hai jab band-e-qabaa khulte hain tujh mein uThte hue khurshid ki uryaani hai ik tiraa lamha-e-iqraar nahin mar sakta aur har lamha zamaane ki tarah faani hai kucha-e-dost se aage hai bahut dasht-e-junun ishq vaalon ne abhi khaak kahaan chhaani hai is tarah hosh ganvaanaa bhi koi baat nahin aur yuun hosh se rahne mein bhi naadaani hai"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"