SHAWORDS

sanam ke dekh kar lab aur dahan surkh — Shaikh Zahuruddin Hatim

"sanam ke dekh kar lab aur dahan surkh huaa hai khun-e-bulbul se chaman surkh shahid-e-laala-ruyaan ko bajaa hai dafan ke vaqt gar kiije kafan surkh huaa majnun ke haq mein dasht gulzaar kiyaa hai ishq ke Tesu ne ban surkh gulon kaa rang ab zard ho gayaa hai chaman mein dekh kar teraa badan surkh kar 'haatim' yaad ahvaal-e-shahidaan shafaq se jab ki hotaa hai gagan surkh"
Urdu

صنم کے دیکھ کر لب اور دہن سرخ ہوا ہے خون بلبل سے چمن سرخ شہید لالہ رویاں کو بجا ہے دفن کے وقت گر کیجے کفن سرخ ہوا مجنوں کے حق میں دشت گل زار کیا ہے عشق کے ٹیسو نے بن سرخ گلوں کا رنگ اب زرد ہو گیا ہے چمن میں دیکھ کر تیرا بدن سرخ کر حاتمؔ یاد احوال شہیداں شفق سے جب کہ ہوتا ہے گگن سرخ

Hindi

सनम के देख कर लब और दहन सुर्ख़ हुआ है ख़ून-ए-बुलबुल से चमन सुर्ख़ शहीद-ए-लाला-रूयाँ को बजा है दफ़न के वक़्त गर कीजे कफ़न सुर्ख़ हुआ मजनूँ के हक़ में दश्त गुलज़ार किया है इश्क़ के टेसू ने बन सुर्ख़ गुलों का रंग अब ज़र्द हो गया है चमन में देख कर तेरा बदन सुर्ख़ कर 'हातिम' याद अहवाल-ए-शहीदाँ शफ़क़ से जब कि होता है गगन सुर्ख़

sanam ke dekh kar lab aur dahan surḳh
Shaikh Zahuruddin Hatim
Shaikh Zahuruddin Hatim
Shaikh Zahuruddin Hatim
poet302 quotes

More by Shaikh Zahuruddin Hatim

View all →
Quote
"tu dekh use sab jaa aankhon ke uThaa parde maanind suvaidaa ke dil biich use ghar de aalam ke muraqqe mein tasvir usi ki hai sab husn yahaan yaaro us husn ke hain garde sayyaad kaa sharminda huun be-par-o-baali se uD kar abhi jaa pahunchun jo mujh ko khudaa par de saaqi tujhe kam-zarfi maston se nahin laazim tarsaa na mujhe kaafir saaghar ke taiin bhar de bazm-e-dil-e-mushtaaqaan juun shaam-e-gharibaan hai yak jalva mein tu raushan aa sham-e-sifat kar de ham arz kiyaa us ki khidmat mein ki ai saahab itne tire bandon mein ek ham bhi hain nau-varde daulat se tiri sab kuchh ham paas muhayyaa hai lab khushk o jigar biryaan chashm-e-tar o dil sar de 'haatim' vo lagaa kahne ghusse se ki chal jhuThe bandaa main use jaanun jo pahle qadam sar de hushyaar karun 'haatim' maston ko nigaahon mein qatra mai-e-vahdat se jo saaqi-e-kausar de"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"ishq ne chuTki si li phir aa ke meri jaan ke biich aag si kuchh lag gai hai sina-e-bariyaan ke biich ahl-e-maaani juz na bujhegaa koi is ramz ko ham ne paayaa hai khudaa ko surat-e-insaan ke biich is sabab main jang shaane se karun huun baar baar dil huaa hai gum miraa us kaakul-e-pechaan ke biich zulf o chashm o khaal o khat chaaron hain dushman diin ke haq rakkhe imaan salaamat aise kufristaan ke biich naqd-e-dil khoyaa hai ham ne jaan kar is raah mein fil-haqiqat aashiqon ko suud hai nuqsaan ke biich gar adu meri badi kartaa hai khaas o aam mein main use rusvaa karungaa baandh kar divaan ke biich raat din jaari hai aalam mein miraa faiz-e-sukhan go ki huun muhtaaj par 'haatim' huun hindostaan ke biich"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"ab ki chaman mein gul kaa ne naam o ne nishaan hai fariyaad-e-bulbulaan hai yaa shohra-e-khizaan hai ham sair kar jo dekhaa ru-e-zamin ke uupar aasudgi kahaan hai jab tak ye aasmaan hai ham kyaa kahein zabaan se aap hi tu sun rahegaa shikva tire sitam kaa zaalim jahaan tahaan hai muddat hui ki mar kar main khaak ho gayaa huun jiine kaa bad-gumaan ko ab tak mire gumaan hai holi ke ab bahaane chhiDkaa hai rang kis ne naam-e-khudaa tujh uupar is aan ajab samaan hai makre se faaeda kyaa rindon se kab chhupi hai kyaa haajat-e-bayaan hai jo kuchh hai sab ayaan hai rang-e-gulaal munh par aisaa bahaar de hai juun aaftaab-e-taabaan zer-e-shafaq nihaan hai kesar mein is tarah se aaluda hai saraapaa sunte the ham so dekhaa to shaakh-e-zaafaraan hai aap hi mein dekh 'haatim' vahdat ke biich kasrat tu ek o ek jaa hai aur dil kahaan kahaan hai"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"gul ki aur bulbul ki sohbat ko chaman kaa shaana hai sarv hai juun sham' tis par faakhta parvaana hai roz o shab yaa nauha yaa zaari hai yaa aah-o-fughaan yaa ilaahi ye koi dil hai ki maatam-khaana hai tan kar us ki tegh ke aage huaa hai sar-ba-kaf hai qayaamat hai ghazab ye dil hai yaa divaana hai bulbul-e-tasvir ki maanind said-e-dil ke taiin ne havaa uDne ki ne parvaa-e-aab-o-daana hai ek haalat par na dekhaa us ko ham ne ek aan gah gul o gah bulbul o gah sham' o gah parvaana hai moatakif ho shaikh apne dil mein masjid se nikal saahib-e-dil ki baghal mein dil ibaadat-khaana hai mai-kasho mujh ko tumhaari bazm ki hasrat nahin paas mere diida o dil shisha o paimaana hai khvaab mein the jab talak thaa dil mein duniyaa kaa khayaal khul gaiin aankhein to dekhaa ham ne sab afsaana hai she’r ustaadaana o 'haatim' hai be-baakaana-vaza tab' aazaadaana o auqaat darveshaana hai"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari